Allama Iqbal- Nazm- 'Iblees Ki Arz-Daasht'

Nazm- 'Iblees Ki Arz-Daasht'


Kehtaa Tha Azaazeel, Khuda-Wand-E-Jahaan Se
Parkaala-E-Aatish Huvee Adam Ki Kuf-E-Khaak

Jaan Laaghar-O-Tan Farba-O-Malboos Badan-Zeb
Dil Naza' Ki Haalat Mein, Khird Pukhta-O-Chaalaak

Naa-Paak Jisse Kehti Thi Mashriq Ki Shariat
Maghrib Ke Faqeehon Ka Yeh Fatwah Hai Ke Hai Paak

Tujh Ko Naheen Maaloom Ke Hooraan-E-Bahishti
Weeraani-E-Jannat Ke Tasawwur Se Hain Ghum-Naak

Jamhoor Ke Ibless Hain Arbaab-E-Siyaasat
Baaqi Naheen Abb Meri Zaroorat Tah-E-Aflaak

---------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Aap ne ye site qaayim karke ek nihaayat azeem kaam kiya he.....MUBAARAKBAAD

    ReplyDelete

–>