Allama Iqbal-Nazm- 'Tuloo-E-Islam'

Nazm- 'Tuloo-E-Islam'

Daleel-E-Subh-E-Raushan Se Sitaaron Ki Tunak-Taabi
Ufaq Se Aaftab Ubhra, Gaya Daur-E-Giraan-Khwaabi

Urooq-E-Murda-E-Mashriq Mein Khoon-E-Zindagi Dauda
Samajh Sakte Nahin Iss Raaz Ko Seena-O-Faraabi

Musalmaan Ko Musalmaan Kar Diya Toofan-E-Maghrib Ne
Talaatum Haaey Daryaa Hi Se Hai Gauhar Ki Sairaabi

Ataa Momin Ko Phir Dargaah-E-Haq Sat Hone Waala Hai
Shikwa-E-Turkmani, Zehn-E-Hindi, Nutq-E-A'araabi

Asar Kuch Khwaab Ka Ghunchon Mein Baaqi Hai To Ai Bulbul
"Nuaara Talkh Turmi Zan Choo Zauq-E-Naghma Kam-Yaabi"

Tadap Sehn-E-Chaman Mein, Aashiyaan Mein, Shaakh-Saaron Main
Judaa Paare Se Ho Sakti Nahin Taqdeer-E-Seemaabi

Woh Chashm-E-Paak-Been Kyon Zeenat-E-Bargistawaan Dekhe
Nazar Aati Hai Jiss Ko Mard-E-Ghaazi Ki Jigar-Taabi


Zameer-E-Laala Mein Raushan Charaagh-E-Aarzu Kar De
Chaman Ke Zarre Zarre Ko Shaheed-E-Justuju Kar De


Sarishk-E-Chashm-E-Muslim Mein Hai Neesaan Ka Asar Paida
Khalilulah(A.S) Ke Darya Mein Hon Ge Gauhar Peda

Kitaab-E-Millat-E-Baiza Ki Phir Sheeraza Bandi Hai
Yeh Shaakh-E-Haashmi Karne Ko Hai Phir Barg-O-Bar Paida

Rabood Aan Turk-E-Sheeraazi Dil-E-Tibreez-O-Kabul Raa
Saba Karti Hai Boo-E-Gul Se Apna Hamm-Safar Paida

Agar Usmaanion Par Koh-E-Gham Toota To Kya Gham Hai
Ke Khoon-E-Sad Hazar Anjum Se Hoti Hai Sehar Paida

Jahaan-Baani Se Hai Dushwaar-Tar Kaar-E-Jahaan-Beeni
Jigar Khoon Ho To Chashm-E-Dil Mein Hoti Hai Nazar Paida

Hazaaron Saal Nargis Apni Be-Noori Pe Roti Hai
Badi Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deeda-War Paida

Nuaa-E-Pera Ho Ai Bulbul Ke Ho Tere Tarannum Se
Kabootar Ke Tan-E-Naazuk Mein Shaheen Ka Jigar Paida


Tere Seene Mein Hai Posheeda Raaz-E-Zindagi Keh De
Musalmaan Se Hadees-E-Soz-O-Saaz-E-Zindagi Keh De


Khuda-E-Lam-Yazil, Dast-E-Qudrat Tu, Zubaan Tu Hai
Yaqeen Paida Kar Ai Ghaafil Ke Maghloob-E-Gumaan Tu Hai

Pare Hai Charkh-E-Neeli Faam Se Manzil Musalmaan Ki
Sitaare Jiss Ki Gird-E-Raah Hon, Woh Kaarwaan Tu Hai

Makaan Faani, Makin Aani, Azal Tera, Abad Tera
Khuda Ka Aakhiri Paigham Hai Tu, Javedaan Tu Hai

Hina Band-E-Uroos-E-Laala Hai Khoon-E-Jiger Tera
Teri Nisbat Baraaheemi Hai Me’maar-E-Jahaan Tu Hai

Teri Fitrat Ameen Hai Mumkinaat-E-Zindagani Ki
Jahaan Ke Jauhar-E-Muzmar Ka Goya Imtehaan Tu Hai

Jahaan-E-Aab-O-Gil Se Aalam-E-Javed Ki Khaatir
Nubuwwat Saath Jiss Ko Le Gaie, Woh Armaghaan Tu Hai

Yeh Nukta Sargazisht-E-Millat-E-Beza Se Hai Paida
Ke Aqwaam-E-Zameen-E-Asia Ka Paasbaan Tu Hai


Sabaq Phir Padh Sadaqat Ka, Adaalat Ka, Shuja'at Ka
Liyaa Jaaey Ga Tujh Se Kaam Dunyaa Ki Imaamat Ka


Yehi Maqsood-E-Fitrat Hai, Yehi Ramz-E-Musalmani
Ukhuwat Ki Jahaangeeri, Mohabbat Ki Faraawani

Butaan-E-Rang-O-Khoon Ko Tod Kar Millat Mein Gumm Ho Jaa
Na Toorani Rahe Baaqi, Na Irani, Na Afghani

Miyaan-E-Shakhsaraan Sohbat-E-Murgh-E-Chaman Kab Takk
Tere Baazu Mein Hai Parvaaz-E-Shaheen-E-Qehstaani

Gumaan Aabaad Hasti Mein Yaqeen Mard-E-Musalmaan Ka
Bayaabaan Ki Shabb-E-Taareek Mein Qindeel-E-Rehbaani

Mitaaya Qaisar-O-Kisra Ke Istabdaad Ko Jiss Ne
Woh Kya Thaa Zor-E-Haider, Faqr-E-Bu Zar, Sidq-E-Salmani

Huwe Ahraar-E-Millat Jadah-O-Pemaa Kiss Tajjammul Se
Tamaashaie Shigaaf-E-Dar Se Hain Sadiyon Ke Zindaani

Sabaat-E-Zindagi Imaan-E-Mohkam Se Hai Dunya Main
Ke Almani Se Bhi Paaindah Tar Nikla Hai Toorani


Jab Iss Angara-E-Khaaki Mein Hota Hai Yaqeen Paida
To Kar Leta Hai Yeh Baal-O-Par Rooh-Ul-Ameen Paida


Ghulaami Mein Na Kaam Aati Hain Shamsheeren Na, Tadbeeren
Jo Ho Zauq-E-Yaqeen Paida To Katt Jaati Hain Zanjeeren

Koi Andazah Kar Sakta Hai Uss Ke Zor-E-Baazu Ka
Nigah-E-Mard-E-Momin Se Badal Jaati Hain Taqdeeren

Wilaayat, Paadshaahi, Ilm-E-Ashiya Ki Jahaangeeri
Yeh Sub Kya Hain Faqat Ek Nukta-E-Imaan Ki Tafseeren

Baraaheemi Nazar Paida Magar Mushkil Se Hoti Hai
Havis Chhup Chhup Ke Seenon Mein Banaa Leti Hain Tasveeren

Tameez-E-Bandah-O-Aaqa Fasaad-E-Aadmiyat Se Hai
Khudraaey Cheera-E-Dastaan Sakht Hain Fitrat Ki Ta'azeeren

Haqeeqat Ek Hai Har Shai Ki Khaaki Ho Ke Noori Ho
Lahu Khursheed Ka Tapke Agar Zarre Ka Dil Cheeren

Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faatahai Aalam
Jihad-E-Zindagaani Mein Hain Yeh Mardon Ki Shamsheeren


Che Bayad Mard-E-Raa Taba-E-Bulande, Mushrab-E-Naabe
Dil-E-Garme, Nigah-E-Paak- Beene, Jaan-E-Be Taabe


Uqaabi Shaan Se Jhapat’te They Jo, Be Baal-O-Par Nikle
Sitaare Shaam Ke Khoon-E-Shafaq Mein Doob Kar Nikle

Huwe Madfoon-E-Daryaa, Zer-E-Darya Tairne Waale
Tamaanche Mauj Ke Khaate The Jo, Ban Kar Gohar Nikle

Ghubaar-E-Rah-Guzar Hain, Keemiya Par Naaz Thaa Jin Ko
Jabeenen Khaak Par Rakhte They Jo, Akseer-Gar Nikle

Hamaara Narm-Rau Qaasid Payaam-E-Zindagi Laayaa
Khabar Deti Theen Jin Ko Bijliyaan, Woh Be-Khabar Nikle

Haram Ruswaa Huvaa, Peer-E-Haram Ki Kam Nigaahi Se
Jawaanaan-E-Tataari Kiss Qadar Sahib-E-Nazar Nikle

Zameen Se Nooriyaan-E-Aasmaan Parvaaz Kehte The
Yeh Khaaki Zindah Tar, Paaindah Tar, Tabindah Tar Nikle

Jahaan Mein Ahl-E-Imaan Soorat-E-Khursheed Jeete Hain
Idhar Doobe, Udhar Nikle, Udhar Doobe, Idhar Nikle


Yaqeen Afraad Ka Sarmaaya-E-Ta'ameer-E-Millat Hai
Yehi Quwwat Hai Jo Soorat Gar-E-Taqdeer-E-Millat Hai


Tu Raaz-E-Kun Fikaan Hai, Apni Aankhon Par Ayaan Ho Jaa
Khudi Ka Raazdaan Ho Jaa, Khuda Ka Tarjumaan Ho Jaa

Havis Ne Kar Diyaa Hai Tukde Tukde Nau-E-Insaan Ko
Ukhuwat Ka Bayaan Ho Jaa, Mohabbat Ki Zubaan Ho Jaa

Yeh Hindi, Woh Khuraasani, Yeh Afghani, Woh Toorani
Tu Ai Sharminda-E-Saahil Uchhal Kar Be-Karaan Ho Jaa

Ghubaar Aaloodah-E-Rang-O-Nasab Hain Baal-O-Par Tere
Tu Ai Murgh-E-Haram Udne Se Pehle Pur-Fishaan Ho Jaa

Khudi Mein Doob Jaa Ghafil Yeh Sirr-E-Zindagaani Hai
Nikal Kar Halqa-E-Shaam-O-Sehar Se Javidaan Ho Jaa

Musaaf-E-Zindagi Mein Seerat-E-Faulaad Paida Kar
Shabistaan-E-Mohabbat Mein Hareer-O-Pur-Niyaan Ho Jaa

Guzar Jaa Ban Kar Sel-E-Tandoor Koh-O-Bayaabaan Se
Gulistan Rah Mein Aaey To Joo-E-Naghma Khwaan Ho Jaa


Tere Ilm-O-Mohabbat Ki Nahin Hai Intehaa Koi
Nahin Hai Tujh Se Badh Kar Saaz-E-Fitrat Mein Nava Koi


Abhi Tak Aadmi Said-E-Zaboon-E-Shehr-Yaari Hai
Qayamat Hai Ke Insaan Nau-E-Insaan Ka Shikaari Hai

Nazar Ko Khirah Karti Hai Chamak Tehzeeb-E-Haazir Ki
Yeh Sannaaee Magar Jhoote Nigoon Ki Rezah-Kaari Hai

Woh Hikmat, Naaz Thaa Jiss Par Khirad Mandaan-E-Maghrib Ko
Havis Ke Panja-E-Khooneen Mein Taigh-E-Kaar-Zaari Hai

Taddabbur Ki Fusoon-Kaari Se Mohkam Ho Nahin Sakta
Jahaan Mein Jiss Tammaddun Ki Bina, Sarmaaya-Daari Hai

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi Jahannum Bhi
Yeh Khaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Naa Naari Hai

Khuroosh-Aamoz-E-Bulbul Ho Girah Ghunche Ki Waa Kar De
Ke Tu Iss Gulistaan Ke Waaste Baad-E-Bahaari Hai

Phir Utthi Asia Ke Dil Se Chingaari Mohabbat Ki
Zameen Jolaangah-E-Atlas Qubayaan-E-Taataari Hai


Biya Paida Khareedar Ast Jaan-E-Naa-Tawaane Raa
"Pus Az Muddat Guzaar Uftaad Barma Kaarwaane Raa"


Biya Saaqi Nuaaey Murgh-E-Zaar Az Shaakhsaar Aamad
Bahaar Aamad, Nigaar Aamad, Nigaar Aamad, Qaraar Aamad

Kasheed Abr-E-Bahaari Khaima Andar Waadi-O-Sehra
Sadaa-E-Aabshaaraan Az Faraaz-E-Koh-Saar Aamad

Sirat Gardum Tohum Qaanoon-E-Paisheen Saazdah Saaqi
Ke Khel-E-Naghma Pardaazaan Qataar Ander Qataar Aamad

Kinaar Az Zaahidan Bar Geer-O-Be Baakaana Saaghir Kush
Pus Az Muddat Azeen Shaakh-E-Kohn Baang-E-Hazaar Aamad

Ba Mushtaqaan-E-Hadees-E-Khwaja-E-Badr-O-Hunain Aawar
Tassaruff Haaey Pinhaan Nash Ba Chashm-E-Aashkaar Aamad

Digar Shaakh-E-Khaleel (A.S) As Khoon-E-Maan Manaak Megardud
Ba-Ba Zaar-E-Mohabbat Naqd-E-Maa Kaamil Aiyaar Aamad

Sar-E-Khaak-E-Shaheede Barg Haaey Laala Mi Paasham
Ke Khoonish Baa Nihaal-E-Millat-E-Maa Saaz-Gaar Aamad


"Baya Taa Gul-E-Banafshaa Neem-O-Mi Dar-E-Saaghar Andaazayam
Falak Raa Saqaf Bashgaa Feem-O-Tarah-E-Deegar Andaazayam"

----------------------

Post a Comment

1 Comments

–>