Bar-Tar Az-Andesha-E-Sood-O-Ziyaan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabhi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi
Tu Is Se Paimaana-E-Imroz-O-Fardaa Se Na Naap
Javedaan, Peham Dawaan, Har Dam Jawaan Hai Zindagi
Apni Duniya Aap Paida Kar Agar Zindon Mein Hai
Sir-E-Aadam Hai, Zameer-E-Kun-Fikaan Hai Zindagi
Zindagaani Ki Haqeeqat Koh-Kan Ke Dil Se Pooch
Joo-E-Sher-O-Teesha-O-Sang-E-Giraan Hai Zindagi
Bandagi Mein Ghatt Ke Reh Jaati Hai Ik Joo-E-Kam Aab
Aur Aazaadi Mein Behr-E-Be Karaan Hai Zindagi
Aashkaara Hai Yeh Apni Quwwat-E-Taskheer Se
Gar-Che Ik Mitti Ke Paikar Mein Nihaan Hai Zindagi
Qulzum-E-Hasti Se Ubhra Hai Tu Maanind-E-Hubaab
Iss Ziyaan-Khaane Mein Teraa Imtehaan Hai Zindagi
Khaam Hai Jab Tak Tu Hai Mitti Ka Ek Ambaar Tu
Pukhta Ho Jaaey To Hai Shamsheer-E-Be-Zanhaar Tu
Ho Sadaaqat Ke Liye Jiss Dill Mein Marne Ki Tadap
Pehle Apne Paikar-E-Khaaki Mein Jaan Paida Kare
Phoonk Daale Yeh Zameen-O-Aasmaan Paida Kare
Aur Khaakistar Se Aap Apna Jahaan Paida Kare
Zindagi Ki Quwwat-E-Pinhaan Ko Kar De Aashkaar
Taa Yeh Chingaari Farogh-E-Jaavedaan Paida Kare
Khaak-E-Mashriq Par Chamak Jaaey Misaal-E-Aaftaab
Taa Bidakhshaan Phir Wohi La'al-E-Giraan Paida Kare
Sooe-E-Girdoon Naala-E-Shabgeer Ka Bheje Safeer
Raat Ke Taaron Mein Apne Raazdaan Paida Kare
Yeh Ghadi Mehshar Ki Hai Tu Arsa-E-Mehshar Mein Hai
Pesh Kar Ghaafil, Amal Koi Agar Daftar Mein Hai
-------------------