Sahir Ludhianvi-Nazm- 'Jaageer'

Nazm- 'Jaageer'

Phir Usi Waadi-E-Shaadaab Mein Laut Aayaa Hoon
Jis Mein Pinhaan Mere Khwaabon Ki Tarab-Gaahen Hain
Mere Ahbaab Ke Saamaan-E-Ta’ayyush Ke Liye
Shaukh Seene Hain, Jawaan Jism, Haseen Baahein Hain

Sabz Kheton Mein Ye Dubki Hui Dosheezaaein
In Ki Shiryaanon Mein Kis Kis Ka Lahoo Jaari Hai
Kis Mein Jurrat Hai Ki Is Raaz Ki Tashheer Kare
Sab Ke Lab Par Meri Haibat Ka Fusoon Taari Hai

Haai Vo Garm-O-Dilaavez Ubalte Seene
Jin Se Ham Satwat-E-Aabaa Ka Silaa Lete Hain
Jaane In Marmarin Jismon Ko Ye Mariyal Dahqaan
Kaise In Teerah Gharondon Mein Janam Dete Hain

Ye Lahakte Hue Paudhe, Ye Damakte Hue Khet
Pahle Ajdaad Ki Jaageer Thi, Ab Mere Hain
Ye Charaa-Gaah, Ye Rewar Ye Maweshi Ye Kisaan
Sab-Ke-Sab Mere Hain, Sab Mere Hain, Sab Mere Hain!

In Ki Mehnat Bhi Meri, Haasil-E-Mehnat Bhi Mera
In Ke Baazu Bhi Mere, Quwwat-E-Baazu Bhi Meri
Main Khudawand Hoon Is Wus’at-E-Be-Paayaan Ka
Mauj-E-Aariz Bhi Meri, Nakhat-E-Gesu Bhi Meri

Main Un Ajdaad Ka Betaa Hoon Jinhon Ne Paiham
Ajnabi Qaum Ke Saaye Ki Himaayat Ki Hai
Ghadr Ki Saa’at-E-Naapaak Se Lekar Ab Tak
Har Kare Waqt Mein Sarkaar Ki Khidmat Ki Hai

Khaak Par Rengne Waale Ye Fasurda Dhaanche
In Ki Nazrein Kabhi Talwaar Bani Hain Na Banein
In Ki Ghairat Pe Har Ik Haath Jhapat Sakta Hai
In Ke Abru Ki Kamaanen Na Tani Hain Na Tanen

Haaye Ye Shaam, Ye Jharne, Ye Shafaq Ki Laali
Main In Aasooda Fazaaon Mein Zara Jhoom Na Loon
Wo Dabe Paanv Udhar Kaun Chali Jaati Hai
Barh Ke Us Shokh Ke Tarshe Hue Lab Choom Na Loon!

                     -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>