Ik Maulvi Saahib Ki Sunaata Hoon Kahaani
Tezi Nahin Manzoor, Tabiyat Ki Dikhaani
Shohra Tha Bahut Aap Ki Sufi Munashi Ka
Karte They Adab Unn Ka Aali-O-Adaani
Kehte They Ke Pinhaan Hai Tasawwuf Mein Shariyat
Jiss Tarah Ke Alfaaz Mein Muzmir Hon Ma'ani
Labrez Ma'-E-Zuhd Se Thi Dil Ki Suraahi
Thi Teh Mein Kaheen Durd-E-Khayaal-E-Hamdaani
Karte They Bayaan Aap Karaamaat Ka Apni
Manzoor Thi Ta'adaad Mureedoun Ki Badhaani
Muddat Se Rahaa Karte They Ham-Saaye Mein Mere
Thi Rind Se Zahid Ki Mulaaqaat Puraani
Hazrat Ne Mere Ek Shanaasa Se Yeh Poocha
Iqbal Ke Hai Qamari-E-Shamshaad-E-Ma'aan
Paabandi-E-Ahkaam-E-Shariya't Mein Hai Kaisa
Go Sher Mein Hai Rashk-E-Kaleem-E-Hamadaani
Suntaa Hoon Ke Kaafir Nahin Hindu Ko Samajhta
Hai Aisa Aqeedah Asar-E-Falsafa-Daani
Hai Uss Ki Tabiya't Mein Tashshaiyo Bhi Zara Saa
Tafzeel-E-Ali Hum Ne Sunni Uss Ki Zubaani
Samjhaa Hai Ke Hai Raag Ibaadaaat Mein Daakhil
Maqsood Hai Mazhab Ki Magar Khaak Udaani
Kuch Aar Usse Husn-Faroshon Se Naheen Hai
Aadat Yeh Hamaare Sho'raa Ki Hai Puraani
Gaana Jo Hai Shub Ko To Sehr Ko Hai Tilaawat
Iss Ramz Ke Abb Tuk Na Khule Hum Pe Ma'aani
Lekin Yeh Sunna Apne Mureedon Se Hai Main Ne
Be-Daagh Hai Maanind-E-Sehr Iss Ki Jawaani
Majmoo'a-E-Ajdaad Hai, Iqbal Naheen Hai
Dil Daftar-E-Hikmat Hai, Tabiya't Khafakaani
Rindi Se Bhi Aagaah, Shariya't Se Bhi Waaqif
Poochho Jo Tassawwuf Ki, To Mansoor Ka Saani
Iss Shakhs Ki Hum Par To Haqeeqat Naheen Khulti
Ho Gaa Yeh Kissi Aur Hi Islam Ka Baani
Al-Qissa Bahut Tool Diyaa Wa'az Ko Apne
Taa Der Rahi Aap Ki Yeh Naghz-Bayaaani
Iss Shehr Mein Jo Baat Ho, Ud Jaati Hai Sub Mein
Main Ne Bhi Suni Apne Ahibba Ki Zubaani
Ik Din Jo Sar-E-Rah Mile Hazrat-E-Zahid
Phir Chid Gaie Baaton Mein Wohi Baat Puraani
Farmaaya, Shikaayat Woh Mohabbat Ke Sabbab Thi
Thaa Farz Meraa, Raah Shariya't Ki Dikhaani
Main Ne Yeh Kaha Koi Gilaa Mujh Ko Naheen Hai
Yeh Aap Ka Huq Thaa Ziraah-E-Qurb-E-Makaani
Khamm Hai Sar-E-Tasleem Meraa Aap Ke Aage
Peeri Hai Tawaazo' Ke Sabab Meri Jawaani
Gar Aap Ko Maaloom Naheen Meri Haqeeqat
Paida Naheen Kuchh Iss Mein Qusoor-E-Hamadaani
Main Khud Bhi Naheen Apni Haqeeqat Ka Shanaasa
Gehraa Hai Mere Behr-E-Khiyaalaat Ka Paani
Mujh Ko Bhi Tamanna Hai Ke Iqbal Ko Dekhoon
Kee Uss Ki Judaaie Mein Bahut Ashk Fashaani
Iqbal Bhi Iqbal Se Aagaah Naheen Hai
Kuch Iss Mein Tamaskhur Naheen, Wallah Naheen Hai
-------------------------
1 Comments
''The rind say zahid ki mulaqaat puraani''
ReplyDeleteAwesome..