Sar Mein Sauda Bhi Nahin Dil Mein Tamanna Bhi Nahin,
Lekin Is Tark-E-Mohabbat Ka Bharosa Bhi Nahin,
Yun To Hungaame Uthaate Nahin Deewana-E-Ishq
Magar Ai Dost Kuch Aison Ka Thikaana Bhi Nahin,
Muddatein Guzrin Teri Yaad Bhi Aayi Na Hamein,
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahin,
Ye Bhi Sach Hai Ke Mohabbat Mein Nahin Majboor,
Ye Bhi Sach Hai Ke Tera Husn Kuch Aisa Bhi Nahin,
Dil Ki Ginti Na Yagaanon Mein Na Be-Gaanon Mein,
Lekin Is Jalvaa-Gaah-E-Naaz Se Uthta Bhi Nahin,
Bad-Gumaan Ho Ke Mil Ai Dost Jo Milna Hai Tujhe,
Ye Jhijhakte Huwe Milna Koi Milna Bhi Nahin,
Shikwa-E-Jaur Kare Kya Koi Us Shokh Se Jo,
Saaf Qaayal Bhi Nahin Saaf Mukarta Bhi Nahin,
Meherbani Ko Mohabbat Nahin Kehte Ai Dost,
Aah Mujh Se To Meri Ranjish-E-Bejaan Bhi Nahin,
Baat Ye Hai Ke Sukoon-E-Dil-E-Vehshi Ka Maqaam,
Kunj-E-Zindaan Bhi Nai Vusa'at-E-Sehra Bhi Nahin,
Munh Se Hum Apne Bura To Nahin Kehte Ke,
Hai Tera Dost Magar Aadmi Achha Bhi Nahin
--------------------------