Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun
Husn-E-Yazdaan Se Tujhe Husn-E-Butaan Tak Dekhun
Tu Ne Yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekha Hi Na Tha
Main To Dil Mein Tere Qadmon Ke Nishaan Tak Dekhun
Sirf Is Shauq Se Poochi Hain Hazaaron Baatein
Main Tera Husn, Tere Husn-E-Bayaan Tak Dekhun
Mere Veeraana-E-Jaan Mein Teri Yaadon Ke Tufail
Phool Khilte Nazar Aate Hain Jahaan Tak Dekhun
Waqt Ne Zehen Mein Dhundhla Diye Tere Khad-O-Khaal
Yun To Main Toot’te Taaron Ka Dhuaan Tak Dekhun
Dil Gaya Tha To Yeh Aankhein Bhi Koi Le Jaata
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhun
Ik Haqeeqat Sahi, Firdaus Mein Hooron Ka Wajood
Husn-E-Insaan Se Nibat Loon To Wahaan Tak Dekhun
-----------------
0 Comments