Gulzar - Nazm - 'Alaao'

Nazm - 'Alaao


Raat Bhar Sard Hawa Chalti Rahi

Raat Bhar Ham Ne Alaav Taapa

Maine Maazi Se Kai Khushk Si Shaakhen Kaatin

Tum Ne Bhi Guzre Hue Lamhon Ke Patte Tode

Main Ne Jebon Se Nikaalin Sabhi Sookhi Nazmen

Tum Ne Bhi Haathon Se Murjhaaye Hue Khat Khole

Apni In Aankhon Se Main Ne Kai Maanzi Tode

Aur Haathon Se Kai Baasi Lakeeren Phenki

Tum Ne Palkon Pe Nami Sookh Gayi Thi, So Gira Di


Raat Bhar Jo Bhi Mila Ugte Badan Par Hum Ko

Kaat Ke Daal Diya Jalte Alaawon Mein Use

Raat Bhar Phoonkon Se Har Lau Ko Jagaaye Rakha

Aur Do Jismon Ke Eindhan Ko Jalaaye Rakha

Raat Bhar Bujhte Hue Rishte Ko Taapa Hum Ne

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>