Ahmad Faraz
Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Barham Hain Dosto
Ab Ho Chala Yaqeen Ke Bure Ham Hain Dosto
Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kya Karen
Aankhen To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto
Apne Siva Hamaare Na Hone Ka Gham Kise
Apni Talaash Mein To Ham Hi Ham Hain Dosto
Kuchh Aaj Shaam Hi Se Hai Dil Bhi Bujha Bujha
Kuchh Shahr Ke Chiragh Bhi Maddham Hain Dosto
Is Shahr-E-Aarzoo Se Bhi Baahar Nikal Chalo
Ab Dil Ki Raunaqen Bhi Koi Dam Hain Dosto
Sab Kuchh Sahi ’Faraz’ Par Itna Zaroor Hai
Duniya Mein Aise Log Bahut Kam Hain Dosto
----------------------
0 Comments