Ahmad Faraz- Woh Shakhs Koi Faisla Kar Bhi Nahin Jaata


Ahmad Faraz


Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jaata
Woh Shakhs Koi Faisla Kar Bhi Nahin Jaata

Ankhein Hain Ke Khaali Nahin Rahti Hain Lahoo Se
Aur Zakhm-E-Judaai Hai Ke Bhar Bhi Nahin Jaata

Woh Raahat-E-Jaan Hai Magar Is Dar-Badri Main
Aaisa Hai Ke Ab Dhyaan Udhar Bhi Nahin Jaata

Hum Dohri Azeeat Ke Hain Giraftaar Musaafir
Paaon Bhi Hain Shal,Shauq-E-Safar Bhi Nahin Jaata

Dil Ko Teri Chaahat Pe Bharosa Bhi Bahot Hai
Aur Tujh Se Bichhad Jaane Ka Dar Bhi Nahin Jaata

Paagal Huway Jaate Ho ‘Faraz’ Us Se Mile Kya
Itni Si Khushi Se Koi Mar Bhi Nahin Jaata


----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>