Sahir Ludhianvi- Hawas Naseeb Nazar Ko Kahin Qaraar Nahin

Hawas Naseeb Nazar Ko Kahin Qaraar Nahin



Hawas Naseeb Nazar Ko Kahin Qaraar Nahin
Main Muntazar Hoon, Magar Tera Intezaar Nahin

Hamin Se Rang-E-Gulistaan, Hamin Se Rang-E-Bahaar
Hamin Ko Nazm-E-Gulistaan Pe Ikhtiyaar Nahin

Abhi Na Chhed Muhabbat Ke Geet Ai Mutrib
Abhi Hayaat Ka Maahaul Khush-Gavaar Nahin

Tumhaare Ahd-E-Vafa Ko Main Ahd Kya Samjhoon
Mujhe Khud Apni Muhabbat Ka Aitbaar Nahin

Na Jaane Kitne Gile Is Mein Muztarib Hain Nadeem
Vo Ek Dil Jo Kisi Ka Gilaa-Guzaar Nahin

Gurez Ka Nahin Qaa’el Hayaat Se, Lekin
Jo Sach Kahoon To Mujhe Maut Naa-Gavaar Nahin

Ye Kis Maqaam Pe Pahuncha Diya Zamaane Ne
Ke Ab Hayaat Pe Tera Bhi Ikhtiyaar Nahin

  ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>