Jeene Se Dil Be-Zaar Rahe
Har Saans Ik Aazaar Rahe
Kitni Hazeen Hai Zindagi
Andoh-Geen Hai Zindagi
Vo Bazm-E-Ahbaab-E-Watan
Vo Ham-Navaayaan-E-Watan
Aate Hain Jis Dam Yaad Ab
Karte Hain Dil Naa-Shaad Ab
Guzri Hui Rangeeniyaan
Khoi Hui Dilchaspiyaan
Pahron Rulaati Hain Mujhe
Aksar Sataati Hain Mujhe
Vo Zamzame Vo Chahchahe
Vo Rooh-Afzaa Qahqahe
Jab Dil Ko Maut Aayi Na Thi
Yoon Be-Hisi Chhaai Na Thi
‘Kaalej’ Ki Raangeen Vaadiyaan
Vo Dil-Nisheen Aabaadiyaan
Vo Naazneenaan-E-Watan
Zohra-Jabeenaan-E-Watan
Jin Mein Se Ik Rangeen Qabaa
Aatish Nafas, Aatish Navaa
Kar Ke Muhabbat Aashnaa
Rang-E-Aqeedat Aashnaa
Mere Dil-E-Naakaam Ko
Khoon- Gashta-E-Aalaam Ko
Daagh-E-Judaai De Gayi
Saari Khudaai Le Gayi
Un Sa’aton Ki Yaad Mein
Un Raahaton Ki Yaad Mein
Maghmoom Sa Rahtaa Hoon Main
Gham Ki Kasak Sahtaa Hoon Main
Suntaa Hoon Jab Ahbaab Se
Qisse Gham-E-Ayyaam Ke
Be-Taab Ho Jaataa Hoon Main
Aahon Mein Kho Jaataa Hoon Main
Phir Vo Azeez-O-Aqraba
Jo Tod Kar Ahd-E-Vafaa
Ahbaab Se Munh Mod Kar
Duniyaa Se Rishta Tod Kar
Hadd-E-Ufaq Se Us Taraf
Rang-E-Shafaq Ke Is Taraf
Ik Vaadi-E-Khaamosh Ki
Ik Aalam-E-Behosh Ki
Gahraayion Mein So Gaye
Taareekiyon Mein Kho Gaye
Unkaa Tasavvur Naagahaan
Letaa Hai Dil Mein Chutkiyaan
Aur Khoon Rulaataa Hai Mujhe
Be-Kal Banaataa Hai Mujhe
Vo Gaaon Ki Hamjoliyaan
Maflook Dahqaan Zaadiyaan
Jo Vast-E-Fart-E-Yaas Se
Aur Yorish-E-Aflaas Se
Ismat Lutaa Kar Rah Gayin
Khud Ko Ganvaa Kar Rah Gayin
Ghamgeen Javaani Ban Gayin
Rusvaa Kahaani Ban Gayin
Un Se Kabhi Galiyon Mein Ab
Hotaa Hoon Main Do-Chaar Jab
Nazrein Jhuka Letaa Hoon Main
Khud Ko Chhupa Leta Hoon Main
Kitni Hazeen Hai Zindagi
Andoh-Geen Hai Zindagi
----------------------
0 Comments