Iftikhar Arif
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Aisi Tanhaai Ke Mar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Ghar Ki Wehshat Se Larazta Hoon Magar Jaane Kyon
Shaam Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Doob Jaaoon To Koi Mauj Nishan Tak Na Bataaye
Aisi Naddi Mein Utar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Kabhi Mil Jaaye To Raste Ki Thakan Jaag Pade
Aisi Manzil Se Guzar Jaane Ko Ji Chaahta Hai
Wahi Paimaan Jo Kabhi Ji Ko Khush Aaya Tha Bahut
Usi Paimaan Se Mukar Jane Ko Ji Chaahta Hai
----------------------