Iftikhar Arif
Thakan To Agle Safar Ke Liye Bahaana Tha
Use To Yun Bhi Kisi Aur Simt Jaana Tha
Wahi Chiragh Bujha Jis Ki Lau Qayamat Thi
Usi Pe Zarb Padi Jo Shajar Puraana Tha
Mata-E-Jaan Ka Badal Ek Pal Ki Sar-Shaari
Sulook Khwaab Ka Aankhon Se Tazirana Tha
Wahi Firaq Ki Baaten Wahi Hikayat-E-Wasl
Nai Kitaab Ka Ek Ek Waraq Purana Tha
Qaba-E-Zard, Nigar-E-Khizan Pe Sajti Thi
Tabhi To Chaal Ka Andaz Khusrowana Tha
-----------------