Iftikhar Arif
Kuchh Bhi Nahin, Koi Nahin, Khwaab Ke Ekhtiyaar Mein
Raat Guzaar Dee Gayii Subh Ke Intezaar Mein
Baab-E-Ataa Ke Saamne, Ahl-E-Kamaal Ka Hujoom
Jin Ko Tha Sar-Kashi Pe Naaz, Woh Bhi Usi Qataar Mein
Aayega Aayegaa Wo Din, Ho Ke Rahe Ga Har Hisaab
Waqt Bhi Intezaar Mein, Khalq Bhi Intezaar Mein
Jaise Fasaad-E-Khoon Se Jild-E-Badan Pe Daagh-E-Bars
Dil Ki Siyaahiyaan Bhi Hain, Daaman-E-Dagh-Daar Mein
Waqt Ki Thokaron Mein Hai, Uqdaa Kushaiyon Ko Zo’m
Kaise Ulajh Rahi Hai Dor, Naakhun-E-Hoshiyaar Mein
Jaisi Lagi Thi Dil Mein Aag, Waisi Ghazal Bani Nahin
Lafz Thahar Nahin Sake, Dard Ki Tez Dhaar Mein
-----------------------------