
Iftikhar Arif
Sar-E-Baam-E-Hijr Diya Bujha To Khabar Hui
Sar-E-Shaam Koi Judaa Hua To Khabar Hui
Mera Khush-Kharam Bala Ka Tez-Kharam Tha
Meri Zindagi Se Chala Gaya To Khabar Hui
Mere Saare Harf, Tamaam Harf Azaab The
Mere Kam-Sukhan Ne Sukhan Kiya To Khabar Hui
Koi Baat Ban Ke Bigad Gayi To Pata Chala
Mere Be-Wafaa Ne Karam Kiya To Khabar Hui
Mere Ham-Safar Ke Safar Ki Samt Hi Aur Thi
Kahin Raasta Koi Gum Hua To Khabar Hui
Mere Qissa-Go Ne Kahan Kahan Se Barhaayi Baat
Mujhe Daastaan Ka Siraa Mila To Khabar Hui
Na Woh Mausam-E-Rang-Rez, Na Dil, Na Main
Koi Khwaab Tha Ke Bikhar Gaya To Khabar Hui
-----------------------