Shamsi Minai
Mujhe Bakhshi Khuda Ne Kaun Roke Ga Zubaan Meri
Tumhein Har Haal Mein Sun Ni Pade Gi Daastaan Meri
Kabhi To Shah-Rah-E-Zindagi Thi Kahkashaan Meri
Magar Ab Kaarvaan Mera Na Gard-E-Kaarvaan Meri
Abhi Logon Ke Dil Mein Khar Ki Soorat Khatakta Hoon
Abhi Tak Yaad Hai Ahl-E-Chaman Ko Daastaan Meri
Mere Guzre Huye Tewar Abhi Bhooli Nahin Duniya
Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri
Meri Aankhon Mein Aansoo Hain Na Hothon Pe Tabassum Hai
Samajh Mein Kya Kisi Ki Aaye Gi Tarz-E-Fughaan Meri
Meri Fitrat Ko Kya Samjhen Ge Yeh Khwab-E-Gardaan Waale
Sawere Ke Sitaare Ki Chamak Hai Raazdaan Meri
Teri Rah-E-Talab Mein Zakhm Sab Seene Pe Khaaye Hain
Bahaar-E-Gulsitaan Meri Hayaat-E-Jaaduaan Meri
---------------------------------