Shamsi Minai-nazm-Firqa-Paraston Se Do Do Baatein



Shamsi Minai


Aazaadi-e-Watan Ke Paristar Tum Bhi Ho
Main Tum Se Poochhta Hoon Wafadaar Tum Bhi Ho

Jis Dum Yahaan Watan Mein Bidesi Ka Raaj Tha
Us Dum Tumhaare Ghol Ka Kya Kaam-Kaaj Tha

Aazaadi-e-Watan Ke Liye Tum Ne Kya Kiya
Angrez Se Bataao! Kya Morcha Liya

Qurbaaniyon Ka Zikr Musalsal Sunaao To
Seene Pe Koi Zakhm Agar Ho Dikhaao To

Jab They Ghulam, Jaah-Parasti Dikha Gaye
Aazad Ho Ke Firqa-Parasti Pe Aa Gaye

Har Cheez Hum Se Ho Ke Juda Maangte Ho Tum
Kya Haq Hai Jo Suboot-e-Wafa Maangte Ho Tum

Hum Se Wafa Ki Maang! Yeh Jiddat To Dekhiye
Gandhi Ke Qatilon Ki Yeh Himmat To Dekhiye

Yeh Haal Hai Ki Des Ko Pahchaante Nahin
Taareekh-e-Hind Bhi To Abhi Jaante Nahin

Jab Gul Hua 'Siraj' To Phaili Thi Raushni
'Qasim' Ne Us Ke Ba'd Hi Baksar Mein Jaan Di

'Rahmat' Ka Zor Badh Ke Nisar-e-Chaman Hua
'Tipu' Ka Baank-Pan Bhi Shaheed-e-Watan Hua

Yeh Khak-o-Khoon Ka Khel Yahin Par Nahin Ruka
Dilli Mein 'Bakht Khan' Ne Kara Morcha Liya

Shaah-e-'Zafar' Ne Nasl Ko Qurban Kar Diya
'Hazrat Mahal' Ne Qaum Ko Zeeshan Kar Diya

Ek Maulvi Ne Tegh Ke 'Jauhar' Dikha Diye
Ya'Ni Firangion Ke Parakhhche Uda Diye

'Ashfaq' Charh Ke Daar Pe Hans Kar Guzar Gaya
Zalim Pe Marte Marte Bhi Ek Waar Kar Gaya

'Usman' Ke Lahoo Se Abhi Laala-Zaar Hai
Kashmir Ki Zamin Par Ab Tak Bahaar Hai

Qurbaani-e-'Hameed' Ki Taaza Misaal Hai
Koi Gine Ga Baith Ke Kis Ki Majaal Hai

Shaida-e-Hind Kitne Musalmaan Ho Gaye
Do Sau Baras Mein Kitne To Qurbaan Ho Gaye

Kis Ne Manaai Jung Ke Maidan Mein Eid Tak
Bangal Ke Siraj Se Abdul Hameed Tak

Ek Silsila Hai Khoon-e-Shaeedan Ka Dosto
Ek Qafila Hai Rang-e-Baharaan Ka Dosto

Yeh Kaaghzi Nahin Hai Musalmaan Ki Laag Se
Jal Jaaye Ga Jo Firqa-Parasti Ki Aag Se

Hum Se Wafa Ki Maang Saraasar Sitam Nahin
Rahte Hain Apne Ghar Mein Kisi Ka Karam Nahin

Rukh Se Har Ek Raaz Ke Parda Uthaoon Ga
Ghaddaar Kaun Hai Yeh Tumhen Main Bataaoon Ga

Ghaddaar Woh Jo Maal Chhupaata Hai Raat-Din
Ghaddaar Woh Jo Tax Churaata Hai Raat-Din

Ghaddaar Woh Jo Des Mein Andha Hai Aaj Tak
Sarhad Ke Paar Bhej Raha Hai Anaaj Tak

Jis Ko Nahin Watan Ke Fasaane Se Waasta
Jis Ko Hai Sirf Nafa' Kamaane Se Waasta

Jo Rishta-e-Wafa Bhi Kabhi Jodta Nahin
Dil Todta Hai Sood Magar Chhorta Nahin

Ghaddaar Woh Jo Rang-e-Chaman Jaanta Nahin
Dastoor-e-Hind Bhi To Abhi Jaanta Nahin

Jo Chaahta Hai Firqa-Parasti Ka Raaj Ho
Jo Chaahta Hai Ek Dharm Ka Samaj Ho

Ghaddaar Woh Jo Hadd-e-Wafa Se Guzar Gaye
Dilli Mein Faaeelon Ka Jo Beopaar Kar Chuke

Un Mein Se Koi Saaheb-e-Imaan Nahin Hua
Ab Tak To Un Mein Koi Musalmaan Nahin Hua

Jamhooriat Ke Paaye Musalmaan Hi To Hain
Kashmir Ko Bachaaye Musalmaan Hi To Hain

Rahte Hain Hum Yehin Pe Yeh Tum Ko Pata Nahin
Paidaaishi Yeh Haq Hai Kisi Ne Diya Nahin

Rahte Ho Tum Bhi Des Mein Ghar Ke Makeen Ho Tum
Shahri Meri Tarah Se Ho Maalik Nahin Ho Tum

Apne Watan Ki Laaj Pe Ab Bhi Marenge Hum
Hum Ne Dikha Diya Hai Hifazat Karenge Hum

Sachaai Ka Chiragh Hamaare Dilon Mein Hai
Paani Nahin Hai Khoon Hamari Ragon Mein Hai

Danke Ki Chot Jo Bhi Hai Kahna Kahenge Hum
Faaqa Karenge Aur Yahin Par Rahenge Hum

Aakhir Yahin Marenge Yeh Da'Wa Wafa Ka Hai
Apna Watan Hai Aur Sahara Khuda Ka Hai

Meri Zabaan Pe Naam-e-Khuda Subh-o-Sham Hai
Tum Se Karam Ki Bheekh Bhi Lena Haraam Hai


      -------------------------
–>