Shamsi Minai
Baais-E-Aish-O-Masarrat Hai Tu Aiwaanon Mein
Barmala Jot Jagaati Hai Khaliaanon Mein
Kaun Sa Bhed Hai Kya Raz Teri Aanch Mein Hai
Garmi-E-Husn Ka Andaz Teri Aanch Mein Hai
Aanch Mein Kaif Kisi Shokh Ke Aanchal Se Siwa
Ek Nafaasat Hai Ke Jo Reshmi Malmal Se Siwa
Qalb Barbad-E-Mohabbat Ki Tapish Rakhti Hai
Jism-E-Mehboob Ki Maanind Kashish Rakhti Hai
Tere Sholay Ki Hain Ham-Dosh-E-Mohabbat Goya
Teri Qurbat Hai Ki Aaghosh-E-Mohabbat Goya
Dam-Ba-Dam Shab Mein Sulagti Hai Paheli Ki Tarah
Be-Khatar Beech Mein Hansti Hai Saheli Ki Tarah
Un-Ginat Shauq Umangon Ki Chamak Hai Tujh Mein
Zau-Fagan Aariz-E-Gulgoon Ki Damak Hai Tujh Mein
Apni Aankhon Mein Kabhi Dil Mein Bitha Loon Tujh Ko
Jee Mein Aata Hai Kaleje Se Laga Loon Tujh Ko
Da’wat-E-Shauq Teri Deed Mein Lahrati Hai
Zindagi Khinch Ke Tere Paas Chali Aati Hai
Tu Ne Is Zor Se Khincha Hai Haraarat Ka Hisar
Jis Mein Dam Maar Na Paai Kabhi Sardi Ki Bahar
Ghum Ke Be-Jod Ishaaraat Ko Khapne Na Diya
Jeete Ji Tu Ne To Sardi Ko Panapne Na Diya
Kitne Dilchasp Latife Tere Hum-Rah Badhe
Gaon Ke Raqs Tere Saamne Parwan Chadhe
Zauq-E-Mehfil Bhi To Paida Teri Sohbat Mein Huwa
Bazm-E-Aaraai Ka Jalwa Teri Sohbat Mein Huwa
Qaafile Jab Chale Saath Diya Hai Tu Ne
Dasht-O-Sehra Ko Bhi Gulzar Kiya Hai Tu Ne
Ba-Wafa Itni Ki Sulgaaye Jahan Bhi Chaahe
Be-Zuban Itni Ki Le Jaaye Jahan Bhi Chaahe
Ek Tafreeh Ka Samaan Hai Ameeri Ke Liye
Ek Be-Daam Jadawal Hai Ghareebi Ke Liye
Jazba-E-Khidmat-E-Insaan Se To Bhar-Poor Hai Tu
Aur Nafrat Se Ta’ssub Se Bahut Door Hai Tu
Teri Fitrat Hi Jo Insaan Ki Fitrat Hoti
Aaj Duniya Mein Mohabbat Hi Mohabbat Hoti
-----------------------------