Shamsi Minai
Nigah-E-Ishq Ne Paththar Ko Jaandar Kiya
Wafa Ki Raah Mein Jo Kuch Tha Sab Nisaar Kiya
Zamin Pe Rasm-E-Wafa Khema-Zan Hui Jis Se
Yeh Baat Samjhein Ki Tameel-E-Fun Hui Jis Se
Woh Baadshah Nahin Tha Gharib Qaidi Tha
Nazar Se Fun Ko Sanwaara Ajib Qaidi Tha
Yeh Rang Taaj Se Aakhir Mubeen Hota Hai
Gham-E-Firaq Bhi Kitna Haseen Hota Hai
Agar Yeh Daulat-O-Shahi Ka Mo’jiza Hota
Kisi Ki Qahr-Nigahi Ka Mo’jiza Hota
To Aaj Duniya Mein Kitne Hi Taaj Ban Jaate
Zamaane Bhar Se Kahan Log Dekhne Aate
Tamaam Din Ke Aqeedat Ka Ek Rela Hai
Tamaam Saal Yahan Dekhiye To Mela Hai
Kisi Mazar Pe Zar Jaa Ke Nazr Karte Hain
Yahan Pe Qalb-O-Jigar Aa Ke Nazr Karte Hain
Na Jaane Kitnon Ki Ghairat Bachaai Hai Is Ne
Na Jaane Kitnon Ko Rozi Diaai Hai Is Ne
Na Jaane Kitne Gharanon Ki Aab-Yaari Hai
Dayaar-E-Ishq Se Har Waqt Faiz Jaari Hai
Ajeeb Shaan Se Qaayam Hai Dilkashi Ab Tak
Guzar Gain Hai Jo Sadiyaan Hai Taazgi Ab Tak
Mili Hai Fun Ko Zamaane Mein Bartari Be-Shak
Bahut Si Aur Hain Takhleeq-E-Aadmi Ab Tak
Magar Yeh Husn Kisi Mein Yeh Taazgi Na Rahi
Guzar Gaya Jo Zamaana To Dilkashi Na Rahi
Gudaaz-E-Ishq Ne Paththar Ko Zindagi Bakhshi
Wafa Ne Badh Ke Andhere Ko Rushni Bakhshi
Rah-E-Wafa Ki Kahani Ko Mustaqil Dekho
Jo Dekhna Hai Jawaani Ko Mustaqil Dekho
Nazar-Nawaz Bhi Hai Paikar-E-Jamil Bhi Hai
Hayat-E-Ishq-O-Wafa Ka Yeh Snag-E-Meel Bhi Hai
Yahin To Zulmat-E-Gham Ka Jawab Pinhaan Hai
Ke Paththaron Mein Shab-E-Mahtab Pinhaan Hai
Yeh Mukhtasar Bhi Mukammal Bhi Laa-Jawaab Bhi Hai
Wafa Qubool Bhi Hai Ishq-E-Kaamyaab Bhi Hai
Sharaar-Edil Se Garaan Bazm-E-Kainaat Nahin
Yeh Fun Bashar Ka, Farishton Ke Bas Ki Baat Nahin
Ghalat Ki Taj Hukoomat Ka Kaarnama Hai
Yeh Sirf Husn-O-Muhabbat Ka Kaarnama Hai
Wafa Ki Raah Mein Heeron Ki Justajoo Kya Hai
Dayaar-E-Ishq Mein Daulat Ki Aabroo Kya Hai
Yeh Raaz Taj Mahal Ne Kiya Hai Aafaaqi
Ke Tishnagi Ki Badaulat Hai Fun Ki Shaadaabi
Yeh Hukm-E-Shah Se Mehnat-Kashi Ka Kaam Nahin
Yeh Sirf Ek Imaarat-Gari Ka Kaam Nahin
Yeh Kaam Khoon-E-Jigar Ka Hai Kuch Hawas Ka Nahin
Yeh Fun Ka Akhri Pehloo Kisi Ke Buas Ka Nahin
Jo Rah Ke Qaid Mein Khaali Thi Jeb Muztar Ki
Dil-O-Dimaagh Ki Har Kaifiat Nichhawar Ki
Wohi Asar To Abhi Taj Mein Machalta Hai
Rukh-E-Bashar Ki Tarah Kaifiat Badalta Hai
Badal Badal Ke Kai Rang Se Nikharta Hai
Fun Aseer-Dilon Ko Aseer Karta Hai
Hai Kaun Moojid-E-Fun Yeh Sawaal Aata Hai
Woh Jis Ke Zehn Mein Pehle Khayal Aata Hai
Khayaal Zehn Mein Aayaa Zameen Pe Saalim Hai
Yeh Rukh Bhi Taj Mahal Ka Bahut Hi Zaalim Hai
Ek Aur Taj Ki Ta’meer Ho Nahin Sakti
Yeh Khwab Woh Hai Ke Ta’beer Ho Nahin Sakti
Bade Badon Ko Banaata Mureed Hai Zaalim
Qadeem Ho Ke Bhi Kitna Jadeed Hai Zaalim
Kahin Bhi Jaa Ke Tadapti Hai Tilmilaati Hai
Yahan Pe Aa Ke Muhabbat Sukoon Paati Hai
Yahan Pe Hosh Ganwaate Hain Aa Ke Farzaane
Woh Jis Ne Taj Ko Dekha Nahin Hai Kya Jaane
Kisi Ko Chaah Ka Armaan Ho To Sakta Hai
Ki Baadshaah Bhi Insaan Ho To Sakta Hai
Woh Baadshaah Bhi Qaidi Bhi Be-Misaal Raha
Kisi Bhi Daur Mein Woh Sahab-E-Kamal Raha
Junoon-E-Shauq Mein Saari Hayaat Sarf Hui
Chiraagh-E-Fun Hi Jalaane Mein Raat Sarf Hui
Chhupi Thi Daulat-E-Ta’meer Bhi Tabaahi Mein
Bhara Tha Noor Ka Darya Bhi Nam-Nigaahi Mein
Dil-E-Tabaah Mein Fun Ka Chiraagh Raushan Tha
Shu’oor-E-Koh-Kani Se Dimaagh Raushan Tha
Wafa Ka Zor Gham-O-Yaad Se Bhi Aage Tha
Yeh Baadshaah To Farhaad Se Bhi Aage Tha
Agar-Che Nahr Ke Fun Mein Usi Ka Haath Raha
Tasawwur-E-Lab-E-Shireen To Saath Saath Raha
Ummeed-E-Wasl Mein Tesha-Zani Dikhaai Thi
Yahaan To Sirf Gham-E-Hijr Ki Duhaai Thi
Zameen Ko Bhool Gaya Aasmaan Ko Bhool Gaya
Gham-E-Habeeb Mein Saare Jahan Ko Bhool Gaya
Tamaam Umr Magar Taj Par Nigaah Rahi
Gham-E-Habeeb Se Har Waqt Rasm-O-Raah Rahi
Yehi To Charkh-E-Muhabbat Ka Aaftaab Hua
Ke Ba’d-E-Marg Bhi Khalwat Mein Baar-Yaab Hua
Bakhair Zeenat-E- Naazuk-Mizaj Khatm Hui
Hayaat Khatm To Ta’meer-E-Taj Khatm Hui
Rqam Fasaana-E-Fun Mein Yeh Baat Hoti Hai
Ke Shaahkaar Ki Qeemat Hayaat Hoti Hai
Payaam-E-Ishq Se Bezaar Zindagi Kya Hai
Jise Ho Taj Se Nafrat Woh Aadmi Kya Hai
Magar Main Taj Ka Paigham Kho Nahin Sakta
To Aadmi Se Bhi Maayoos Ho Nahin Sakta
----------------------------