Daagh dehlvi- Nazar Chura Ke Woh Yun Har Bashar Ko Dekhte Hain

Nazar Chura Ke Woh Yun


Nazar Chura Ke Woh Yun Har Bashar Ko Dekhte Hain
Kisi Ko Yeh Nahin Saabit Kidhar Ko Dekhte Hain

Bane Huye Hain Woh Mehfil Mein Soorat-E-Tasveer
Har Ek Ko Yeh Gumaan Hai Ki Idhar Ko Dekhte Hain

Hamein Gumaan Yeh Hota Hai, Ham Ko Rota Hai
Kisi Jagah Jo Kisi Nauha-Gar Ko Dekhte Hain

Kisi Se Kuch Nahin Matlab Ki Dekhne Waale
Tumhaari Aankh Tumhari Nazar Ko Dekhte Hain

Hayaa To Dekhiye Aayine Se Bhi Parda Hai
Wo Apna Haath Hi Pehle Sahar Se Dekhte Hain

 -------------------------------
–>