Daagh Dehlvi- Vasl Ke Aish Mein Sab Hijr Ke Gham Bhool Gaye

Vasl Ke Aish Mein Sab Hijr Ke Gham


Vasl Ke Aish Mein Sab Hijr Ke Gham Bhool Gaye
Yaad Rakhna Tha Hamein Jisko Woh Ham Bhool Gaye

Waada-E-Vasl Qayaamat Mein Bhi Na Hoga Wafa
Waah Bhi Kahiye Ga, ‘Tere Sar Ki Qasam Bhool Gaye’

Na Tamanna-E-Sitam Yahaan Na Wahaan Mashq-E-Jafa
Wo Hamein Bhool Gaye Ab Unhein Ham Bhool Gaye

Kuch Ajab Taur Kati Bekhudi-E-Shauq Mein Raah
Do Qadam Theek Chale Chaar Kadam Bhool Gaye

Le Ke Dil Aap Jigar Chhod Gaye Seene Mein
Ik Raqam Yaad Rahi Ek Raqam Bhool Gaye

 --------------------------
–>