Sahir Ludhianvi -Zulm Phir Zulm Hai, Barhta Hai To Mit Jaataa Hai

Zulm Phir Zulm Hai


Zulm Phir Zulm Hai, Barhta Hai To Mit Jaataa Hai
Khoon Phir Khoon Hai, Tapke Ga To Jam Jaaye Ga

Khaak-E-Sehra Pe Jame Yaa Kaf-E-Qaatil Pe Jame
Farq-E-Insaaf Pe Yaa Paa-E-Salaasal Pe Jame
Tegh-E-Bedaad Pe Yaa Laasha-E-Bismil Pe Jame
Khoon Phir Khoon Hai Tapke Ga To Jam Jaaye Ga

Laakh Baithe Koi Chhup Chhup Ke Kameen-Gaahon Mein
Khoon Khud Deta Hai Jallaadon Ke Maskan Ka Suraagh
Saazishein Laakh Udaati Rahein Zulmat Ka Naqaab
Le Ke Har Boond Nikalti Hai Hatheli Pe Chiraagh

Zulm Ki Qismat-E-Nakaarah-O-Rusvaa Se Kaho
Jabr Ki Hikmat-E-Purkaar Ke Eema Se Kaho
Mehmal-E-Majlis-E-Aqwaam Ki Laila Se Kaho
Khoon Diwana Hai, Daaman Pe Lapak Sakta Hai
Shola-E-Tund Hai, Khirman Pe Lapak Sakta Hai

Tum Ne Jis Khoon Ko Maqtal Mein Dabaanaa Chaaha
Aaj Vo Koochaa-O-Bazaar Mein Aa Nikla Hai
Kahin Shola Kahin Naarah Kahin Patthar Ban Ke
Khoon Chalta Hai To Rukta Nahin Sangeeno Se
Sar Jo Uthtaa Hai To Dabtaa Nahin Aaeeno Se

Zulm Ki Baat Hi Kya, Zulm Ki Auqaat Hi Kya
Zulm Bas Zulm Hai, Aaghaaz Se Anjaam Talak
Khoon Phir Khoon Hai, So Shakl Badal Sakta Hai
Aisi Shaklein Ke Mitaao To Mitaaye Na Bane
Aise Shole Ke Bujhaao To Bujhaaye Na Bane
Aise Naare Ke Dabaao To Dabaaye Na Bane

--------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. It would have been much better if these classical URDU poems are provided in the script it is written and NOT the script that is in every respect opposite of URDU!!
    OR, at least provide an option to see/read it in URDU script also.

    ReplyDelete

–>