Sahir Ludhianvi- Nazm - 'Ek Tasveer Ke Rang'

 Nazm - Ek Tasveer Ke Rang


Main Ne Jis Waqt Tujhe Pahle-Pahal Dekha Thaa
Tu Jawaani Ka Koi Khwaab Nazar Aayi Thi
Husn Ka Naghma-E-Jaaved Hui Thi Ma’aloom
Ishq Ka Jazba-E-Betaab Nazar Aayi Thi

Ai Tarbazaar-E-Jawaani Ki Pareshaan Titli
Tu Bhi Ek Boo-E-Giraftaar Hai, Ma’aloom Na Thaa
Tere Jalvon Mein Bahaarein Nazar Aayin Thin Mujhe
Tu Sitam-Khurda-E-Adbaar Hai, Ma’aloom Na Thaa

Tere Naazuk Se Paron Par Ye Zaro-Seem Ka Bojh
Teri Parwaaz Ko Aazaad Na Hone Dega
Toone Raahat Ki Tamannaa Mein Jo Gham Paalaa Hai
Vo Teri Rooh Ko Aabaad Na Hone Dega

Too Ne Sarmaaye Ki Chhaon Mein Panapne Ke Liye
Apne Dil, Apni Muhabbat Ka Lahoo Bechaa Hai
Din Ki Ta’zeen-E-Fasurda Ka Asaasaa Le Kar
Raat Ki Shokh Masarrat Ka Lahoo Bechaa Hai

Is Se Kya Faaydaa Rangeen Labaadon Ke Tale
Rooh Jalti Rahe, Galti Rahe, Paz-Murda Rahe
Hont Hanste Hon Dikhaave Ke Tabassum Ke Liye
Dil Gham-E-Zeest Se Bojhil Rahe, Aazurda Rahe

Dil Ki Taskeen Bhi Hai Aasaaish-E-Hasti Ki Daleel
Zindagi Sirf Zaro-Seem Ka Paimaana Nahin
Zeest Ahsaas Bhi Hai, Shauq Bhi Hai, Dard Bhi Hai
Sirf Anfaas Ki Tarteeb Ka Afsaana Nahin

Umr Bhar Rengte Rahne Se Kahin Behtar Hai
Ek Lamha Jo Teri Rooh Mein Vus’at Bhar De
Ek Lamha Jo Tere Geet Ko Shokhi De De
Ek Lamha Jo Teri Lai Mein Masarrat Bhar De

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>