Kahen Kya Ham Pe Jo Sadme Guzarte Hain Guzarte Hain
Lagaaya Jis Ghadi Dil Us Ghadi Ko Yaad Karte Hain
Ham Us Ghaflat Ke Sadqe Koi Dam Chhoot’te To Hain Gham Se
Ki Jis Dam Hosh Aata Hai To Pehron Fikr Karte Hain
Kabhi Jhukta Hoon Sheeshe Par, Kabhi Girta Hoon Saagar Par
Meri Be-Hoshiyon Se Hosh Saaqi Ke Bikharte Hain
Ada Un Kaale Kaale Gesuon Ki Kuchh Niraali Hai
Banaane Se Bigadte Hain Sanwaare Se Bikharte Hain
Na Poocho ‘Daagh’ Ham Se Intezaar-E-Yaar Ki Soorat
Yeh Aankhein Jaanti Hain Khoob Jo Naqshe Guzarte Hain
----------------------------
0 Comments