Ghar Se Jab Zawwaar Do Manzil Gaya
Mujrai! Jannat Ka Rasta Mil Gaya
Kya Shahadat Ki Khushi Thi Shah Ko
Zakhm Jo Khaya Badan Par Khil Gaya
Seena-E-Asghar Pe Waan Barchhi Lagi
Ghar Mein Yaan, Maan Ka Kaleja Chhil Gaya
They Ali Akbar Ajab Rashk-E-Chaman
Karbala Ko Lutf-E-Jannat Mil Gaya
Baat Ki Jab, Phool Munh Se Jhad Pade
Muskuraey Jab To Ghuncha Khil Gaya
Sheh-Sawaar-E-Dosh-E-Ahmad Ka Pisar
Qaid Mein Paidal Kayi Manzil Gaya
Bedion Se Pindlian Zakhmi Huween
Tauq Se Nazuk Gala Chhil Chhil Gaya
Roo-E-Aaraaish Na Dekha Umr Bhar
Jo Gaya Duniya Se Woh Be-Dil Gaya
Qahr-E-Haq Tha Ghaiz-E-Abbas-E-Ali
Sher Ke Naa’ron Se Jungle Hil Gaya
Kahte They Shah, Mil Gaye Hum Khak Mein
Ai Falak Batla! Tujhe Kya Mil Gaya
Shukr-E-Allah Takht Par Baithe Ali
Jalwa-Farma Haque Hua, Dil Khil Gaya
Panjtan Ka Waasta De Kar Anees
Jo Khuda Se Tum Ne Manga Mil Gaya
-----------------------
0 Comments