Daayam Pada Huaa Tere Dar Par Nahin Hoon Main
Khaak Aisi Zindagi Pe Ke Patthar Nahin Hoon Main
Kyoon Gardish-E-Mudaam Se Ghabra Na Jaaye Dil
Insaan Hoon, Pyaala-O-Saaghar Nahin Hoon Main
Yaarab ! Zamaana Mujh Ko Mitaata Hai Kis Liye
Lauh-E-Jahaan Pe Harf-E-Muqarrar Nahin Hoon Main
Had Chaahiye Saza Mein Uqoobat Ke Waaste
Aakhir Gunaah-Gaar Hoon, Kaafir Nahin Hoon Main
Kis Waaste Azeez Nahin Jaante Mujhe
Laal-O-Zumarrud-O-Zar-O-Gauhar Nahin Hoon Main
Rakhte Ho Tum Qadam Meri Aankhon Se Kya Daregh
Rutbe Mein Mehar-O-Maah Se Kamtar Nahin Hoon Main
Karte Ho Mujh Ko Maana-E-Qadam-Bos Kis Liye
Kya Aasmaan Ke Bhi Baraabar Nahin Hoon Main
'Ghalib' Wazifaa-Khwaar Ho, Do Shaah Ko Duaa
Woh Din Gaye Ki Kehte The Naukar Nahin Hoon Main
---------------------------
0 Comments