Ghalib - Milti Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein




Milti Hai Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Na Milti Ho Raahat  Azaab Mein

Kab Se Hoon, Kya Bataaoon Jahaan-E-Kharaab Mein
Shab Haaye Hijr Ko Bhi Rakhoon Gar Hisaab Mein

 Taa Phir  Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar
Aane Ka Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

Qaasid Ke Aate-Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Woh Likhen Ge Jawaab Mein

Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuchch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

Jo Munkir-E-Wafa Ho Fareb Us Pe Kya Chale
Kyoon Bad-Gumaan Hoon Dost Se Dushman Ke Baab Mein

Main Muztarib Hoon Wasl Mein Khauf-E-Raqeeb Se
Daala Hai Tum Ko Weham Ne Kis Pech-O-Taab Mein

Mai Aur Haz-E-Wasl, Khuda-Saaz Baat Hai
Jaan Nazr Deni Bhool Gaya Iztiraab Mein

Hai Tevari Chadhi Hui Andar Naqaab Ke
Hai Ik Shikan Padi Hui Tarf-E-Naqaab Mein

Laakhon Lagaav, Ik Churaana Nigaah Ka
Laakhon Banaav, Ik Bigaadna Itaab Mein

Woh Naala Dil Mein Khas Ke Barabar Jagah Na Paaye
Jis Naale Se Shigaaf Pade Aaftaab Mein

Woh Sehar Mudda Talbi Mein Na Kaam Aaye
Jis Sehar Se Safina Ravaan Ho Saraab Mein

'Ghalib' Chhuti Sharaab, Par Ab Bhi Kabhi-Kabhi
Peeta Hoon Roz-E-Abr -O- Shab-E-Maahtaab Mein

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>