Ghalib - Kabhi Neki Bhi Us Ke Jee Mein Gar Aa Jaaye Hai Mujh Se

Kabhi Neki Bhi Us Ke Jee Mein Gar

Kabhi Neki Bhi Us Ke Jee Mein Gar Aa Jaaye Hai Mujh Se
Jafaayen Karke Apni Yaad Sharma Jaaye Hai Mujh Se

Khudaaya ! Jazba-E-Dil Ki Magar Taaseer Ulti Hai
Ki Jitna Khintchta Hoon Aur Khintchta Jaaye Hai Mujh Se

Woh Bad-Khoo Aur Meri Daastan-E-Ishq Toolaani
Ibaarat Mukhtasar, Qaasid Bhi Ghabra Jaaye Hai Mujh Se

Udhar Woh Bad-Ghumaani Hai, Idhar Yeh Naa-Tavaani Hai
Na Poocha Jaaye Hai Uss Se, Na Bola Jaaye Hai Mujh Se

Sambhalne De Mujhe Ai Naa-Ummidi Kya Qayaamat Hai
Ki Daamaan-E-Khayaal-E-Yaar Chhoota Jaaye Hai Mujh Se

Takalluf Bar-Taraf Nazzaaragi Mein Bhi Sahi, Lekin
Woh Dekha Jaaye, Kab Ye Zulm Dekha Jaaye Hai Mujh Se

Huwe Hain Paanv Hi Pehle Nabard-E-Ishq Mein Zakhmi
Na Bhaaga Jaaye Hai Mujh Se, Na Thehra Jaaye Hai Mujh Se

Qayaamat Hai Ke Howe Muddai Ka Ham-Safar 'Ghalib'
Woh Kaafir, Jo Khuda Ko Bhi Na Saunpa Jaaye Hai Mujh Se

--------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>