Jaun Elia - Ek Gumaan Ka Haal Hai

Ek Gumaan Ka Haal Hai


Ek Gumaan Ka Haal Hai Aur Faqat Gumaan Mein Hai
Kis Ne Azaab-E-Jaan Sahaa, Kaun Azaab-E-Jaan Mein Hai

Lamha-Ba-Lmha, Dam-Ba-Damm, Aan-Ba-Aan, Ram-Ba-Ram
Main Bhi Guzishtagaan Mein Hoon, Tu Bhi Guzishtagaan Mein Hai

Aadam-O-Zaat-E-Kibriya, Karb Mein Hain Juda Juda
Kya Kahoon Un Ka Maajra, Jo Bhi Hai Imtehaan Mein Hai

Shaakh Se Ud Gaya Parind, Hai Dill-E-Shaam-E-Dardmand
Sehan Mein Hai Malaal Sa, Huzn Sa Samaan Mein Hai

Khud Bhi Be-Amaan Hoon Main, Tujh Mein Bhi Be-Amaan Hoon Main
Kaun Sahey Ga Us Ka Ghum, Woh Jo Meri Amaan Mein Hai

Kaisa Hisaab Kya Hisaab, Haalat-E-Haal Hai Azaab
Zakhm Nafas Nafas Mein Hai, Zaher Zamaan Zamaan Mein Hai

Us Ka Firaaq Bhi Ziyaan, Us Ka Wisaal Bhi Ziyaan
Ek Ajeeb Kash-Ma-Kash Halqa-E-Be-Dilaan Mein Hai

Bood-O-Nabood Ka Hisaab Main Nahin Jaanta Magar
Saare Wajood Ki ‘Nahin’ Mere Adam Ki ‘Haan’ Mein Hai

------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>