Jaun Elia - Tiflaan-E-Koocha-Gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin

Tiflaan-E-Koocha-Gard Ke Patthar


Tiflaan-E-Koocha-Gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin
Sauda Bhi Ek Wehm Hai Aur Sar Bhi Kuchh Nahin

Main Aur Khud Ko Tujh Se Chhupaaun Ga, Ya’ni Main
Le Dekh Le Miyan Mere Andar Bhi Kuchh Nahin

Bas Ik Ghubaar-E-Wehm Hai Ek Koocha-Gard Ka
Deewaar-E-Bood Kuchh Nahin Aur Dar Bhi Kuchh Nahin

Yeh Shehr Daar-O-Mohtasib-O-Maulvi Hi Kya
Peer-E-Mughaan-O-Rind-O-Qalandar Bhi Kuchh Nahin

Shaikh Haraam Luqma Ki Parwah Hai Kyun Tumhein
Masjid Bhi Uski Kuch Nahin, Mimbar Bhi Kuchh Nahin

Maqdoor Apna Kuch Bhi Nahin Is Dayaar Mein
Shayad Woh Jabr Hai Ke Muqaddar Bhi Kuchh Nahin

Jaani, Main Tere Naaf Peyaale Pe Hoon Fidaa
Yeh Aur Baat Hai Tera Paikar Bhi Kuchh Nahin

Yeh Shab Ka Raqs-O-Rang To Kya, Sun Meri Kahan
Subh-E-Shataab-E-Kosh Ka Daftar Bhi Kuchh Nahin

Bas Ek Ghubaar-E-Taur Gumaan Ka Hai Tah-Ba-Tah
Ya’ni Nazar Bhi Kuch Nahin, Manzar Bhi Kuchh Nahin

Hai Ab To Ek Haal-E-Sukoon-E-Hameshagi
Parwaaz Ka To Zikr Hi Kya, Par Bhi Kuchh Nahin

Kitna Daraawna Hai Yeh Shehr-E-Nabood-O-Bood
Aisa Daraawna Ke Yahan Dar Bhi Kuchh Nahin

Pehloo Mein Hai Jo Merey, Kahin Aur Hai Woh Shakhs
Ya’ni Wafaa-E-Ahd Ka Bistar Bhi Kuchh Nahin

Nisbat Mein Inki Jo Hai Azeeyat Woh Hai Magar
Sheh-Rag Bhi Koi Shai Nahin Aur Sar Bhi Kuchh Nahin

Yaaraan Tumhein Jo Mujh Se Gila Hai To Kis Liye
Mujh Ko To Aitraaz Khuda Par Bhi Kuchh Nahin

Guzre Gi ‘Jaun’ Shehr Mein Rishton Ki Kis Tarah
Dil Mein Bhi Kuch Nahin Hai Zabaan Par Bhi Kuchh Nahin

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>