Jaun Elia - Bund Baahar Se Meri Zaat Ka Darr

Bund Baahar Se Meri Zaat Ka Darr

Bund Baahar Se Meri Zaat Ka Darr Hai Mujh Mein
Main Nahin Khud Mein, Yeh Ik Aam Khabar Hai Mujh Mein

Ik Ajab Aamad-O-Shud Hai Ke Na Maazi Hai Na Haal
‘Jaun’, Barpa Kee Naslon Ka Safar Hai Mujh Mein

Haai Meri Umr Jo Hairaan Tamaashai Hai
Aur Ik Lamha Hai Jo Zer-O-Zabar Hai Mujh Mein

Kya Tarasta Hoon Ke Baahar Ke Kisi Kaam Aaye
Woh Ik Anboh Hai Ke Bas Khaak Basar Hai Mujh Mein

Doobne Waalon Ke Dariya Mujhe Paayaab Mile
Us Mein Ab Doob Raha Hoon Jo Bhanwar Hai Mujh Mein

Darr-O-Diwaar To Baahar Ke Hain Dhahne Waale
Chaahe Rehta Nahin Main, Par Mera Ghar Hai Mujh Mein

Main Jo Paikaar Mein Andar Ki Hoon Be-Teigh-O-Zirrah
Aakhirash Kaun Hai Jo Seena Sipar Hai Mujh Mein

Ma’raka Garam Hai Be-Taur Sa Koi Harr Dumm
Na Koi Teigh Salaamat, Na Sipar Hai Mujh Mein

Zakhm Hi Zakhm Hoon Aur Koi Nahin Khoon Ka Nishaan
Kaun Hai Woh Jo Mere Khoon Mein Tarr Hai Mujh Mein

---------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>