Jaun Elia - Ab To Yahaan Yun Hi Si

Ab To Yahaan Yun Hi Si

Ab To Yahaan Yun Hi Si Guzar Chaahta Hai Dil
Kuchh Din Ke Ba’d Khud Se Safar Chaahta Hai Dil

Daryaa-E-Khwaab Hai Ke Rawaan Hai Hamesha Mein
Aur Ab Kisi Bhi Mauj Mein Ghar Chaahta Hai Dil

Fitna The Sar Ke Daanish-O-Deewaangi Baham
Ab To Hisaab-Fahmi-E-Sar Chaahta Hai Dil

Jaane Yeh Hirs-E-Aql Hai Ya Khahish-E-Junoon
Deewaar Mein Nigaah Ki Dar Chaahta Hai Dil

Is Kuhna Shehrgaah-E-Wisaal-O-Firaaq Se
Ab Ek Baad-E-Tund Guzar Chaahta Hai Dil

Sun Loonga Uski Baat Ke Ik Baat To Hui
Tere Siwa Kisi Ko Agar Chaahta Hai Dil

Ab Us Ko Apni Aan Ki Ik Aan Chahiye
Tark-E-Hisaab-E-Shaam-O-Sahar Chaahta Hai Dil

Koi Khabar Nahin Hai Lab-E-Hast-O-Bood Par
Bas Ab Yehi To Ek Khabar Chaahta Hai Dil

Haan Yeh Jahaan Nahin Dil-O-Daanish Ka, Haan Nahin
Ab Is Jahaan Ko Zer-O-Zabar Chaahta Hai Dil

Ab To Har Aitbaar-E-Yaqeen-O-Gumaan Se ‘Jaun’
Aashob-E-Be-Dili Mein Safar Chaahta Hai Dil

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>