Jaun Elia - Bad-Dili Mein Be-Qaraari Ko

Bad-Dili Mein Be-Qaraari Ko

Bad-Dili Mein Be-Qaraari Ko Qaraar Aaya To Kya
Paa- Pyada Ho Ke Koi Sheh-Sawaar Aaya To Kya

Zindgi Ki Dhoop Me Murjhaa Gaya Mera Shabaab
Bahaar Aayi To Kya Abr-E-Bahaar Ayaa To Kya

Mere Tevar Bujh Gaye Meri Nigaahein Jal Gayin
Ab Koi Aainaa- Roo Aainaa Dar Aaya To Kya

Ab Ke Jab Jaana Na Tum Ko Hai Sabhi Par Aitbaar
Ab Tumhen Jaanaan Na Mujh Par Aitbaar Aaya To Kya

Ab Mujhe Khud Apni Baahon Par Nahin Hai Ikhtiyaar
Hath Phailaaye Koi Be-Ikhtiyaar Aaya To Kya

Woh To Ab Bhi Khwaab Hai, Bedaar Beenayi Ka Khwaab
Zindagi Main Khwaab Mein Us Ke Guzaar Aaya To Kya

Hum Yahan Begaana Hain, So Hum Mein Se ‘Jaun Elia’
Koi Jeet Aaya Yahan Aur Koi Haar Aaya To Kya

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>