Jaun Elia - Chalo Baad-E-Bahari Jaa Rahi Hai

Chalo Baad-E-Bahari Jaa Rahi Hai

Chalo Baad-E-Bahari Jaa Rahi Hai
Tamanna Ki Amari Jaa Rahi Hai

Shimaal-E-Javedaan-E-Sabz-E-Jaan Sey
Miyan Ji Ki Sawaari Jaa Rahi Hai

Hai Barpa Har Gali Mein Shor-E-Naghma
Meri Faryaad Maari Jaa Rahi Hai

Hai Pehlu Mein Takey Ki Ek Haseena
Teri Furqat Guzaari Jaa Rahi Hai

Bahut Bad-Haal Hain, Basti Tere Log
To Phir Tu Kyun Sanwaari Ja Rahi Hai

Main Paiham Haar Kar Ye Sochta Hun
Wo Kya Shai Hai Jo Haari Jaa Rahi Hai

Dil Us Ke Ru-Baru Hai, Aur Gum-Sum
Koi Arzi Guzari Ja Rahi Hai

Jo In Rozon Mera Gham Hai, Woh Yeh Hai
Ghamon Se Burdbaari Jaa Rahi Hai

------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Ye gazal galat post ki h... पहला शेर(मतला) गलत है

    ReplyDelete

–>