Jaun Elia - Ek Aafat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Ek Aafat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Ek Aafat Hai Woh Pyaala-E-Naaf
Kya Qayaamat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Ab Kahan Hosh Ham Ko Hashr Tak
Ke Salaamat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

‘Jaun’ Baba Alif Ka Hai Irshaad
Kaar-E-Vehdat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Shab-E-Kharaabaat Mein Raah-E-Sukhan
Dil Ki Rukhsat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Zindgi Aarzoo Ki Qaamat Hai
Naaf-E-Qaamat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Hai Usi Ki Gadaai Par Guzraan
Dil Ki Daulat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Uski Jumbish Tishnagiangez
Hashr-E-Haalat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Zindgi Hai Sharaabion Ki Haraam
Qadr-E-Hurmat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

Koi Iski Rasad Nahin Juzrang
Khoon-E-Hasrat Hai Woh Pyaala-E-Naaf

----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>