Jaun Elia - Saari Batein Bhool Jaana Fareha

Ba-Naam Fareha

Ba-Naam Fareha

Saari Batein Bhool Jaana Fareha
Tha Woh Sab Kuchh Ek Fasaana Fareha

Haan Mohabbat Ek Dhokha Hi To Thee
Ab Kabhi Dhokha Na Khaana Fareha

Chhed De Gar Koi Mera Tazkera
Sunn Ke Tanzan Muskuraana Fareha

Meri Jo Nazmen Tumhaare Naam Hain
Ab Unhen Mat Gungunaana Fareha

Tha Faqat Roohon Ke Naalon Ki Shikast
Woh Tarannum, Woh Taraana Fareha

Bahes Kya Karna Bhala Halaat Se
Haarna Hai, Haar Jaana Fareha

Saaz-O-Barg-E-Aish Ko Meri Tarah
Tum Nazar Se Mat Giraana Fareha

Hai Shaoor-E-Gham Ki Ek Qeemat Magar
Tum Yeh Qeemat Mat Chukaana Fareha

Zindagi Hai Fitratan Kuchh Bad-Mizaaj
Zindagi Ke Naaz Uthaana Fareha

Peshkash Mein Phool Kar Lena Qubool
Ab Sitaare Mat Mangaana Fareha

Chand Weeraane Tasawwur Mein Rahein
Jab Nai Duniya Basaana Fareha

Jaanib-E-Ishrat Gah-E-Shehar-E-Bahaar
Ho Sake To Mil Ke Jaana Fareha

Sochta Hoon Kis Qadar Tareek Hai
Ab Mera Baqi Zamaana Fareha

Sunn Raha Hoon Manzil-E-Ghurbat Se Door
Baj Raha Hai Shaadiyaana Fareha

Mauj-Zan Paata Hoon Main Ek Sail-E-Rang
Az-Qafas-Taa-Aashiyaana Fareha

Ho Mubaarak Rasm-E-Taqreeb-E-Shabaab
Bar-Muraad-E-Khusrawaana Fareha

Saj Ke Woh Kaisa Laga Hoga Jo Tha
Ek Khwaab-E-Shayeraana Fareha

Sochta Hoon Main, Ke Mujh Ko Chaahiye
Yeh Khushi Dil Se Manaana Fareha

Kya Hua Gar Zindagi Ki Rah Mein
Hum Nahin Shaana-Ba-Shaana Fareha

Waqt Shaayad Aap Apna Jabr Hai
Us Pe Kya Tohmat Lagaana Fareha

Zindagi Ek Naqsh-E-Be-Naqqaash Hai
Us Pe Kya Ungli Uthaana Fareha

Kaash Ek Qaanoon Hota Jo Nahin
Zakhm Apne Kya Dikhaana Fareha

Kaash Kuchh Iqdaar Hote Jo Nahin
Phir Bhala Dil Kya Jalaana Fareha

Sirf Ek Jalti Hui Zulmat Hai Noor
Taab-O-Taabish Par Na Jaana Fareha

Yeh Jo Sab Kuchh Hai Yeh Shaayad Kuchh Nahin
Rog Jee Ko Kya Lagaana Fareha

Sail Hai, Bas Be-Karaan Lamhon Ka Sail
Gharq-E-Sail-E-Be-Karaana Fareha

----------------------------------

Post a Comment

6 Comments

–>