Jaun Elia - Gham-Gusaaron Ko Mujh Se Matlab Kya

Gham-Gusaaron Ko Mujh Se Matlab Kya

Gham-Gusaaron Ko Mujh Se Matlab Kya
Jo Bhi Hona Tha Ho Chuka, Ab Kya

Pursish-E-Haal Hai Na Rasm-E-Tapaak
Ho Gaya Hoon Bahut Mukrab Kya

Ab To Apne Se Door Paar Hoon Main
Tu Agar Mil Gaya Mujhe Tab Kya

Waar Karti Hai Saathiyo, Yaaro,
Lo Sambhaalo, Chale Gaye Sab Kya

Koi Ma’ni Nahin Kisi Shai Ke,
Aur Agar Hon Bhi To Miyan Tab Kya

Arz Baba Alif Yeh Hai Meri
Jab Na Tha Kuch Bhi, Tha Yahan Tab Kya

Eizad-O-Ahrman Se Bhi Poochho
Aakhir Is Zindagi Ka Hai Dhab Kya

Ai Khuda-Saaz Bandagaan-E-Khuda
Khud Sabab Ban Gaya Musabbab Kya

Hai Bas Ek Aan, Ho Azal Ke Abad
‘Elia Jaun’ Is Mein Ab Tab Kya

‘Jaun’ O Khoon Thookne Waale
Ab Dikhana Tujhe Hai Kartab Kya

------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>