Jaun Elia - Hai Turfa Qayaamat Jo Hum Dekhte Hain

Hai Turfa Qayaamat

Hai Turfa Qayaamat Jo Hum Dekhte Hain
Terey Rukh Pey Aasaar-E-Gham Dekhtey Hain

Ghazab Hai Nasheb-O-Faraaz-E-Zamaana
Na Tum Dekhtey Ho Na Hum Dekhtey Hain

Tamanna Hai Ab Hum Ko Be-Hurmati Ki
Sabhi Ko Yahaan Mohtram Dekhtey Hain

Chalo Be Kamand-O-Kamaan Aaj Chal Kar
Ghazaalon Ka Andaaz-E-Ramm Dekhtey Hain

Yehi To Mahabbat Hai Yaaro Ke Ab Woh
Hamaari Taraf Kam Se Kam Dekhtey Hain

Khudaaya Tere Husn-E-Taqweem Mein Hum
Tazaad-E-Wujood-O-Adam Dekhtey Hain

Na Rootho Jo Likhtey Hain Auron Ko Khat Hum
Zaraa Apna Zor-E-Qalam Dekhtey Hain

Khade Ho Ke Hum Waqt Ke Haashiye Par
Fasaadaat-E-Dair-O-Haram Dekhtey Hain

------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>