Jaun Elia - Haqeeqat-Khez Tohmat Hai Jawaani

Haqeeqat-Khez Tohmat Hai Jawaani

Haqeeqat-Khez Tohmat Hai Jawaani
Ek Aaludah Tahaarat Hai Jawaani

Kabhi Har Lamha Raahat Hai Jawaani
Kabhi Har Dam Museebat Hai Jawaani

Suda-E-Nuqte Alaam Ho Kar
Muheet-E-Aish-O-Ishrat Hai Jawaani

Baqool Baaz Yaaran-E-Jawaan Saal
Gunhaon Ki Sharyat Hai Jawaani

Ba-Sad Naa-Paaki Ahsaas-O-Afqar
Bayaan-E-Husun-Enaayat Hai Jawaani

Kabhi Khud Apne Haq Mein Sam-E-Qatil
Kabhi Darwa-E-Milat Hai Jawaani

Kabhi Har Ek Naqsh Masroof-O-Mashghool
Kabhi Fursat Hi Fursat Hai Jawaani

Na Jaane  Kyun, Na Jaane  Kiss Binaa Par
Ek Ehsaas-E-Nadaamat Hai Jawaani

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>