Jaun Elia - Hasrat-E-Rang Aayi Thi

Hasrat-E-Rang Aayi Thi

Hasrat-E-Rang Aayi Thi, Dil Ko Laga Ke Le Gayi
Yaad Thi Apne Aap Ko Yaad Dila Ke Le Gayi

Khaima-Gaah-E-Firaq Se, Khaima-Gaah-E-Visaal Tak
Ek Udaas Si Adaa , Mujh Ko Manaa Ke Le Gayi

Hijr Mein Jal Raha Tha Main, Aur Pighal Raha Tha Main
Ek Khunk Si Raushni , Mujh Ko Bujhaa Ke Le Gayi

Ek Shameem-E-Pur Khayal, Shehr-E-Khayal Se Humain
Khawaab Dikha Ke Laayi Thi, Khawab Dikha Ke Le Gayi

Dil Ko Bus Ik Talaash Thi, Be Sar-O-Kaar-E-Dasht-O-Dar
Ek Mahek Si Thi Ke Bus, Rang Mein La Ke Le Gayi

Yaad, Kharad-O-Khasta Yaad, Be Sar-O-Saaz-O-Naa-Muraad
Jaane Qadam Qadam Kahan, Mujh Ko Chalaa Ke Le Gayi

Yaar Khizaan Khizaan Tha Main, Aisi Fiza-E-Zard Mein
Nikhat-E-Yaad-E-Sabz-Faam, Mujh Ko Khud Aa Ke Le Gayi

Dasht-E-Zayaan-O-Sood Mein, Bood Mein Aur Naa-Bood Mein
Mehmil-E-Naaz-E-Ishwa-Gar, Mujh Ko Bitha Ke Le Gayi

Mehfil-E-Rang-E-Taur Mein, Khoon-E-Jigar Tha Chaahiye
Woh Meri Nosh Lab Mujhe, Zehar Pila Ke Le Gayi

Sail Haqeeqaton Ke They, Dil Tha Ke Main Kahan Taloon
Aur Gumaan Ki Ek Rau, Aayi Aur Aa Ke Le Gayi

Tu Kabhi Sochna Bhi Mat, Tu Ne Ganwaa Diya Mujhe
Mujh Ko Mere Khayal Ki Mauj Bahaa Ke Le Gayi

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>