Jaun Elia - Kaam Mujh Se Koi Huaa Hi Nahin

Kaam Mujh Se Koi Huaa Hi Nahin

Kaam Mujh Se Koi Huaa Hi Nahin
Baat Ye Hai Ke Main To Tha Hi Nahin

Mujh Se Bichhde Jo Mauj-E-Nikhat-E-Yaar
Phir Main Is Shehr Mein Rahaa Hi Nahin

Kis Tarah Tark-E-Mudda’a Keejey
Jab Koi Apnaa Mudda’a Hi Nahin

Kaun Hoon Main Jo Raaegaan Hi Gaya
Kaun Tha Jo Kabhi Mila Hi Nahin

Hoon Ajab Aish-E-Ghum Ki Haalat Mein
Ab Kisi Se Koi Gila Hi Nahin

Baat Hai Raastey Pe Jaaney Ki
Aur Jaane Ka Raasta Hi Nahin

Hai Khuda Hi Pe Munhasir Har Baat
Aur Aafat Ye Hai, Khuda Hi Nahin

Dil Ki Duniya Kuchh Aur Hi Hoti Hai
Kya Kahin Apna Bus Chalaa Hi Nahin

Ab To Mushkil Hai Zindagi Dil Ki
Ya’ni Ab Koi Maajra Hi Nahin

Mauj Aati Hai Thaharne Ki Jahan
Ab Wahan Khema-E-Sabaa Hi Nahin

Har Taraf Ek Hashr Berpaa Hai
‘Jaun’ Khud Se Nikal Ke Jaa Hi Nahin

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>