Jaun Elia - Kabhi Jab Muddaton Ke Ba’d Us Ka Saamna Hoga

Kabhi Jab Muddaton Ke Ba’d

Kabhi Jab Muddaton Ke Ba’d Us Ka Saamna Hoga,
Siwaaye Paas-E-Haalaat-E-Takalluf Aur Kya Hoga,

Yahan Kaun Hai Jo Intekhaab-E-Gham Pe Qaadir Hai,
Jo Mil Jaaye Wahi Gham Doston Ka Mudda Hoga

Saleeb-E-Waqt Par Main Ne Pukaara Tha Mohabbat Ko,
Meri Aawaaz Jisne Bhi Suni Hogi Hansaa Hoga

Hansi Aati Hai Mujh Ko Maslihat Ke Taqaazon Par
Ki Ab Ek Ajnabi Ban Kar Usey Pehchaannaa Hoga

Naved-E-Sarkhushi Jab Aayegi Us Waqt Tak Sahayad,
Hamein Zehr-E-Gham-E-Hasti Gawaaraa Ho Chukaa Hoga

Hamaare Shauq Ke Aasuda-O-Khush-Haal Hone Tak
Tumhaare Aariz-O-Gesu Ka Sauda Ho Chukaa Hoga

Daleelon  Se Dawaa Ka Kaam Lenaa Sakht Mushkil Hai
Magar Is Gham Ki Khaatir Yeh Hunar Bhi Seekhna Hoga

Sabaa Shikwaa Hai Mujh Ko Un Darichon Se, Darichon Se,
Darichon Mein Deemak Ke Siwaa Aur Kya Hoga

----------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Abi aik shoor e Haa o Hoo suna hai Saarbano ne,
    wo pagal kaaf'lay ki zidd mein peechy reh gaya hoga,

    Hai nisfay'shab wo deewana abi tak Ghar nae aaya,
    kisi se chaandni raaton ka kissa Chir gaya hoga!!!

    ReplyDelete

–>