Jaun Elia - Kaisa Dil Aur Us Ke Kya Gham Ji


Kaisa Dil Aur Us Ke Kya Gham Ji
Yun Hi Baatein Banaate Hain Hum Ji

Kya Bhalaa Aasteen Aur Daaman
Kab Se Palkein Bhi Ab Nahin Num Ji

Us Se Ab Koi Baat Kya Karna
Khud Se Bhi Baat Keeje Kam Kam Ji

Dil Jo Dil Kya They Ek Mehfil Tha
Ab Hai Darham Ji Aur Barham Ji

Baat Be-Taur Ho Gai Shaayad
Zakhm Bhi Ab Nahin Hain Marham Ji

Haar Duniya Se Maan Lein Shaayad
Dil Hamaare Mein Ab Nahin Dumm Ji

Aap Se Dil Ki Baat Kaise Kahoon
Aap Hi To Hain Dil Ke Mehram Ji

Hai Yeh Hasrat Ke Zibah Ho Jaoon
Hai Shikan Us Shikam Ki Zaalim Ji

Kaise Aakhir Na Rang Khelein Hum
Dil Lahoo Ho Raha Hai Jaanam Ji

Hai Kharaaba, Hussainiya Apna
Roz Majlis Hai Aur Maatam Ji

Waqt Dam Bhar Ka Khel Hai Is Mein
Besh-Az-Besh Hai Kam-Az-Kam Ji

Hai Azal Se Abad Talak Ka Hisaab
Aur Bas Ek Pal Hai Paiham Ji

Be-Shikan Ho Gayi Hain Who Zulfein
Us Galli Mein Nahin Rahe Khamm Ji

Dasht-E-Dil Ka Ghazaal Hi Na Raha
Ab Bhala Kis Se Kijiye Ram Ji

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>