Meri Sharaab Ka Shohra Hai Ab Zamaane Mein
So Yeh Karam Hai To Kis Ka Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Yeh Taur ! Jaan Jo Hai Meri Bad-Sharaabi Ka
Mujhe Bhala Nahin Lagta Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Kisi Se Koi Bhi Shikwa Nahin Magar Tum Se
Abhi Talak Mujhe Shikwa Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Wo Dil Ke Ab Hai Lahoo Thookna Hunar Jis Ka
Wo Kum Se Kum Abhi Zinda Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Na-Jaane Kya Hai Ke Ab Tak Mira Khud Apne Se
Wahi Jo Thha, Wahi Rishta Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Wujood Ek Tamaasha Tha Hum Jo Dekhte They
Wo Ab Bhi Ek Tamaasha Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Abhi Sadaa-E-Jaras Ka Nahin Hua Aaghaaz
Gubaar Abhi Nahin Uttha Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Hai Mere Dil Ki Guzaarish Ke Mujh Ko Mat Chhoro
Yeh Meri Jaan Ka Taqaaza Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Kabhi Jo Hum Ne Bare Maan Se Basaaya Tha
Woh Ghar Ujarne Hi Waala Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Woh ‘Jaun’ Kaun Hai, Jaane Jo Kuch Nahin Sunta
Hai Jaane Kaun Jo Kahta Hai, Ab Bhi Aa Jaao
--------------------------

0 Comments