Jaun Elia - Na Mere Liye Husn Mein Ab Kashish Hai

Na Mere Liye Husn Mein Ab Kashish Hai

Na Mere Liye Husn Mein Ab Kashish Hai, Na Kuch Kaif Hai Rindi-O-Sarkashi Mein
Yeh Kya Ho Gaya Meri Deewaangi Ko, Yeh Kya Inqlaab Aa Gaya Zindagi Mein

Bahut Bewafaa Hain Wafaa Karne Waale, Yeh Tum Ke Khayaalon Mein Khoyi Hui Ho
Kise Fursat-E-Kaarobaar-E-Wafaa Hai Kise Dil Ka Ehsaas Hai Behishi Mein

Bhula Do Junoon Ke Woh Saare Fasaane Woh Apna Tarannum Woh Mere Taraane
Junoon Ke Liye Kuchh Ria’ayat Nahin Hai Naye Ahed Ki Sang-Dil Aagahi Mein

Main Kab Se Kadi Dhoop Mein Chal Raha Hoon, Na Gesu Ka Saaya Na Aanchal Ki Chhaanv
Kabhi Kitni Hi Shabnami Khalwatein Thin Mere Jaada-E-Shauq-O-Aashuftagi Mein

Agar Ab Nahin To Bahut Jald Tum Ko, Bhulaane Pe Majboor Kar Degi Duniya,
Woh Sab Ahed-O-Paimaan Jo Tum Ne Kiye They, Tasavvur Ki Mehki Hui Chaandni Mein

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>