Jaun Elia - Shamsheer Meri, Meri Sipar Kis Ke Paas Hai

Shamsheer Meri, Meri Sipar Kis Ke Paas Hai

 

Shamsheer Meri, Meri Sipar Kis Ke Paas Hai
Do Mera Khud, Par, Mera Sar Kis Ke Paas Hai

Darpesh Ek Kaam Hai, Himmat Ka Saathion
Kasna Hai Mujh Ko, Meri Kamar Kis Ke Paas Hai

Taari Ho Mujh Pe, Kaun Si Haalat Mujhe Bataao,
Mera Hisaab-E-Nafaa-O-Zarrar, Kis Ke Paas Hai

Ai, Ahal-E-Shaher Main To Duaa-Go-E-Shehr Hoon,
Lab Par Mere Duaa Hai, Asar Kis Ke Paas Hai

Daad-O-Sitad Ke Shaher Mein Hone Ko Aayi Shaam
Khawaahish Hai Mere Paas, Khabar Kis Ke Paas Hai

Purhaal Hoon Pa Surat-E-Ahwaal Kuchh Nahin
Hairat Hai Mere Paas, Nazar Kis Ke Paas Hai

Ek Aaftaab Hai Meri, Jeb-E-Nigaah Mein
Pehnaai-E-Numoob-E-Sehar Kis Ke Paas Hai

Qissa Kishwar Ka Nahin Koshak Ka Hai, Ki Hai
Darwaaza Sab Ke Paas Hai, Ghar Kis Ke Paas Hai,

Mehmaan-E-Kasr Hai, Hamein, Kuchh Ramz Chaahiye
Yeh Poochh Ke Bataao Khandhar Kis Ke Paas Hai,

Uthlaa Sa Naaf-E-Pyaala Hamaari Nahin Talaash
Ai Ladkion Bataao Bhanwar Kis Ke Paas Hai

Naakhoon Badhe Hue Hain Mere, Mujhe Kar Hazar
Yeh Jaa Ke Dekh, Nailcuttar Kis Ke Paas Hai

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>