Nikli Jo Run Mein Teigh-E-Hussaini Ghilaaf Se
Udne Lage Sharar Dam-E-Khara Shigaaf Se
Bijli Badhi Chamak Ke Jo Dasht-E-Musaaf Se
Saaf Aayi Al- Amaan Ki Sada Ko-E-Qaaaf Se
Tabqe Falak Ke Soorat-E-Gahwara Hil Gaye
Dab Ke Pahaad Khaak Ke Daaman Mein Mil Gaye
Larza Tha Taht-O-Fauq-O-Junoob-O-Shumaal Mein
Sikkan-E-Ghurb-O-Sharq They Beem-O-Zawaal Mein
Muztar They Shashjahat Ke Makeen Ek Haal Mein
Ghul Tha Ki Ghir Gaye Ghazab-E-Zul-Jalaal Mein
Shah Ka Ghazab Namoona-E-Qahr-Allah Tha
Talwar Kya Alam Thi Ke Aalam Tabaah Tha
Rahat Mein Jinn-O-Uns-O-Malak Ki Khalal Pade
Qulzum Mein Dar Ke Mardam-E-Aabi Uchhal Pade
Kha Kha Ke Josh Khaak Se Chashme Ubal Pade
Bairul Alam Se Ghol Jinon Ke Nikal Pade
Ulti Zamin Sabhi Ke Daaon Pe Yeh Than Gayi
Pariyon Ke Hosh Udd Gaye Jaanon Pe Ban Gayi
Ghul Tha Ki Zarb-E-Tegh-E-Ali Se Khuda Bachaaye
Yeh Barq Dekhiye Kise Phoonke Kise Jalaaye
Qahr-E-Khuda Se Bach Ke Koi Kis Taraf Ko Jaaye
Bach Jaaye Aaj Woh Jo Dobara Hayat Paaye
Faulad Ho Ki Sang Yeh Munh Modti Nahin
Bedum Kiye Kisi Ko Kabhi Chorti Nahin
Tharra Rahe They Sher Zah-E-Haibat-E-Hussain
Geeti Ko Zalzala Tha Zah-E-Shaukat-E-Hussain
Faaqon Mein Kam Hui Thin A Kuch Taaqat-E-Hussain
Ek Qudrat-E-Khuda Thi Khusha Qudrat-E-Hussain
Sookhi Hui Zabaan Pe Kisi Ka Gila Na Tha
Solah Pahar Huwe They Ke Paani Mila Na Tha
Faaqon Se Rang Zard Toh Lab Pyaas Se Kabood
Chehre Se Tha Jalaal Jahaan Aafreen Namood
Karta Tha Noor-E-Haq Jo Soo-E-Aasmaan Saood
Tasbih Padh Rahe They Malak Aur Bashar Durood
Tham Jaate They Hussain Jo Talwar Taul Kar
Hooren Balaayen Leti Thin Gharfon Ko Khol Kar
Rukhsar Hain Who Gul Jinhen Khauf-E-Khuda Nahin
Tukde Hain La’l Ke Lab-E-Sheerin-Bayan Nahin
Hai Maahi-E-Muheet Fasahat Zuban Nahin
Yeh Fart-E-Naaz Ki Hai Ki Goya Wahan Nahin
Baaton Mein Band Hain Fasaa Kaayenaat Ki
Sadqe Hain Baat Baat Pe Kooze Nabaat Ke
Woh Aahani Kulah, Woh Zirah Jaama-E-Huzoor
Jis Ki Har Ek Kadi Se Nikalta Tha Chhan Ke Noor
Halqe Woh Jin Ko Dekh Ke Sharmaaye Chashm-E-Hoor
Qandeel-E-Aahani Mein Farozaan Hai Shama-E-Toor
Joshan Na Tha Tan-E-Shah-E-Gardoon-Waqaar Mein
Taare Chamakte They Shab-E-Taareek-O-Taar Mein
Masroof Jung-E-Taigh Mein They Ibne-Qillageer
Nikla Pare Se Ek Qadar-Andaaz-E-Be-Nazeer
Bad Kesh-O-Kaj Nihaar-O-Khata Pesha-O-Sharar
Palle Se Tod Deta Tha Joshan Ko Jis Ka Teer
Kya Koi Is Ke Aage Bhala Sar Utthaa Sake
Rustam Bhi Jis Kamaa Ka Na Seesar Uttha Sake
Qabze Mein Taigh Leke Pukaare Shah-E-Zamaan
Haan, Naavak Afghani Mujhe Dikhla To Ai Jawaan
Haan, Nikli Moonh Se Yaan, Ke Khinchi Us Taraf Kamaan
Khinchna Kamaan Ka Tha Ke Chala Teer-E-Be-Amaan
Halqa Udhar Kamaan Ka Kham Ho Ke Reh Gaya
Yaan Taigh-E-Shah Se Teer Qalam Ho Ke Reh Gaya
Khali Isi Ravish Se Hua Tarkash-E-Shareer
Toode Lagaaye Kaat Ke Hazrat Ne Saare Teer
Chaha Tha Kashmakash Mein Ke Ho Jaaye Gosha-Geer
Chillaaye Sheh, Ke Bhaag Na-O-Sarkashon Ke Peer
Peechhe Hatein Na Paaon, Mazaa Hai Ye Jung Ka
Tu Bhi To Tod Dekh Le Mere Khudang Ka
Yaan Dosh Se Kamaan Ko Utara Janaab Ne
Qabze Mein Maah-E-Nau Ko Kiya Aaftaab Ne
Betey Ke Haath Choom Liye Boo-Turab Ne
Taaka Khata Ko Teer-E-Nigaah Se Sawaab Ne
Tarkash Bhi Azhdaha Sa Dahen Knolne Laga
Nikla Uqaab-E-Teer To Par Taulne Laga
Chilley Mein Rakh Ke Teer Badhe Qibla-E-Umam
Ek Haath Raast Kar Ke Kiya Doosre Ko Kham
Kuch Keh Ke Gosh-E-Sheh Mein Chala Teer-E-Tez Dum
Awaaz Di Kamaan Ne Zahe Shaah-E-Baa-Karam
Chilla To Shusht-E-Shaah-E-Zaman Se Nikal Gaya
Waan Teer Dil Ko Tod Ke San Se Nikal Gaya
Gurz-O-Sinaan-O-Taigh-O-Tabar Kaanpne Lage
Naize Misaal-E-Shaakh-E-Shajar Kaanpne Lage
Dar Se Kamman Kashon Ke Jigar Kaanpne Lage
Go Tarkashon Mein Teer They, Par Kaanpne Lage
Peechhe Hate, Khade They Jo Zaalim Badhe Hue
Goshon Se Khud Utar Gaye Chille Chadhe Hue
---------------------
1 Comments
It is priceless...can only be bought by LORD OF THE WORLDS...LORD OF THE UNIVERSE..ALLAH
ReplyDelete