Meer Anees - Salam - Shabeeh-E-Imaam-E-Zamaan

Shabeeh-E-Imaam-E-Zamaan

Shabeeh-E-Imam-E-Zamaa Khenchte Hain
Tassavur Mein Tasveer-E-Jaan Khenchte Hain
Zameendar Sairaab Hain Karbala Ke
Azeeyat Imam-E-Zamaan Khenchte Hain

Jagah Mol Li Hai Mazaaron Ki Khatir
Zameen Pe Shah-E-Deen Nishaan Khenchte Hain
Idhar Khushk Hai Fatima Ki Zaraat
Woh Kheton Mein Aab-E-Rawaan Khenchte Hain

Hawa Lagne Deti Na Thi Jis Ko Bulbul
Wahi Gul Jafa-E-Khizaan Khenchte Hain
Kahaan Bediyaan Aur Kahaan Paay-E-Abid
Yeh Langar Kahin Naa-Tawaan Khenchte Hain

Ajab Haal Hai Dukhtar-E-Fatima Ka
Rida Sar Se Eeza-Rawaan Khenchte Hain
Pukaaren Sakina Duhaayi Hai Baba
Sitamgar Meri Baaliyaan Khenchte Hain

Kati Jaatee Hain Gardanein Bibiyon Ki
Rasan Ko Jo Eeza-Rawaan Khenchte Hain
Ye Aalam Hai Furqat Mein Kehti Thin Zehra
Ke Rag Rag Se Jis Tarha Jaan Khenchte Hain

Kaha Shah Ne “Hushyaar Ai Qaum-E-Nari”
Hum Ab Taigh-E-Aatish-Fishaan Khenchte Hain
Qalam Yun Hai Kaghaz Pe Tham Tham Ke Chalta
Qadam Jis Tarha Naa-Tawaan Khenchte Hain

Bahot Baagh Duniya Ke Kaanton Se Uljhey
Bas Ab Rakhs Soo-E-Jinaan Khenchte Hain
Qadam Bediyon Mein, Hain Rassi Mein Bazoo
Ye Dukh Aabid-E-Natawaan Khenchte Hain

Kaha Ro Ke Akbar Ne Ai Dard Tham Jaa
Kaleje Se Baba Sinaan Khenchte Hain
Bahot Hum Ko Peesa Hai, Ik Din Tujhey Bhi
Shikanje Mein Ai Aasmaan Khenchte Hain

Mohabbat Ka Rishta Nihayat Hai Nazuk
Mujhey Kis Liye Qadrdaan Khenchte Hain
Qaree Sar Ke Hai Aaftaab-E-Qayamat
Lahed Par Abas Saaibaan Khenchte Hain

Dikha Do Zameen-E-Najaf Ki Bulandi
Bahot Aap Ko Aasmaan Khenchte Hain
Nas-E-Ghum Ki Shiddat Se Kahte They Abid
Ajab Sakhtiyaan Istakhwaan Khenchte Hain

Zameen Ke Tale Jin Ko Jaanaa Hai Ek Din
Woh Yun Sar Ko Taa-Aasmaan Khenchte Hain
Faqeeron Ne Yaa Paanv Phaila Diye Hain
Ajab Haath Ahl-E-Jafaan Khenchte Hain

Abas Hai Adu Dar Pe Ai Qatl-E-Asghar
Ye Eezaa Kahin Be-Zabaan Khenchte Hain
Woh Hain Pehelwaan, Hum Jo Quwwat Dikhayein
Falak Pe Sipar Kahkashaan Khenchte Hain

Sukhan Hai Agar Baais-E-Tulkh-Kaami
To Hum Aap Apni Zabaan Khenchte Hain
‘Anees’ Is Zameen Mein Bahot Kam Hai Wus’at
Kumait-E-Qalam Ki Inaan Khenchte Hain

 -----------------------

Post a Comment

2 Comments

  1. Toorey seena be-Kaleemullah,Mimber be-Anees

    ReplyDelete
  2. ایذا رواں نہیں ایذا رساں ہے

    ReplyDelete

–>