Mirza Ghalib - Aalam Jahan Ba-Gharaz-E-Bisaat-E-Wajood Tha

Aalam Jahan Ba-Gharaz-E-Bisaat-E-Wajood Tha


Aalam Jahan Ba-Gharaz-E-Bisaat-E-Wajood Tha
Jon Subha, Chaak-E-Habeeb Mujhe Taar-O-Pood Tha

Juz Qais Aur Koi Na Aaya Ba-Ru-E-Kaar
Sahra Magar Ba-Tangi-E-Chashm-E-Husood Tha

Baazi Khor Fareb Hai Ahl-E-Nazar Ka Zauq
Hangama Garm Hairat Bood-O-Namood Tha

Aalam Tilism-E-Shahr-E-Khamoshaan Hai Sar-Ba-Sar
Yaa Main Ghareeb-E-Kishwar-E-Guft-O-Shunood Tha

Aashuftagi Ne Naqsh-E-Suaida Kiya Durust
Zahir Hua Ki, Dagh Ka Sarmaya Dood Tha

Tha Khwaab Mein Khayal Ko Tujh Se Mua’amla
Jab Aankh Khul Gayi, Na Ziyan Tha Na Sood Tha

Leta Hoon Maktab-E-Gham-E-Dil Mein Sabaq, Hunooz
Lekin Yahi Ki Raft Gaya Aur Bood Tha

Dhanpa Kafan Ne Daagh-E-Uyoob-E-Barahnagi
Main, Warna Har Libaas Mein Nang-E-Wajood Tha

Teshey Baghair, Mar Na Saka Koh-Kan, ‘Asad’
Sargashta-E-Khumar-E-Rusoom-O-Quyood Tha

---------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. too good can we get the explaination in english as well

    ReplyDelete

–>